Ashwagandha Benefits and Side Effects in Hindi – Indian Ginseng Ke Fayde aur Nuksan

Agar aapki ruchi ayurvedic medicine mein ya ayurvedic treatment mein hai to aapne ashwagandha ka naam to jaroor suna hi hoga. Kyonki Ashwgandha ya English mein kahe to Indian ginseng ya winter cherry, hazaron saalon se apne health benefits (swasthya labh) aur apni medicinal properties ( aushdhiye gun) ke karan manav jati ki bhalai ke liye upyog ho rahi hai. Ise ashwagandha do mukhya karno se kaha jata hai – pehla to yah ki iski roots se ghode (horse) ke pasine jaisi gandh (smell) aati hai aur doosra ye ki iske sevan se manav ghode ki tarah urjavan (energetic) aur balshali (powerful) ban jata hai.

Ashwaganda apne health benefits ke karan ayurvedic medicine mein ek vishesh sathan rakhti hai aur is karan ise weak immune system, stress, depression, baar baar garbhpaat, arthritis, gout, joints problems, high cholesterol, high blood pressure, asthma, diabetes, anemia, low sexual power, banjhpan, Parkinson rog, insomnia (need ki kami), weak memory aur cancer ke alawa doosri kayi parkar ki health problems ke treatment ke liye upyog kiya jata hai. Ashwagandha ke benefit bahut hein aur thode se side effects bhi aur iske alawa kuch doosri jankari bhi hai jise hum neeche ke section mein achi tarah se samjhaenge.

Ashwagandha ke Parts aur unke Aushdhiye Gun

Waise to jaydatar ashwagangha ke jad (root) hi ayurvedic medicine mein use ki jate hai. lekin iske beej, flower aur leaves mein bhi kuch khas aushdhiye gun paye jate hein Jaise leaves (patta) mein bhukhar kam karne wale aur sujan kam karne wale gun. Isi tarah phool aur beej mein sexual power bhadane wale, pet ki kide khatam karne wale aur diuretic (mutra bhadane wale) gun paye jate hein.

ashwagandha plant roots

Ashwagandha ke Sakriya ghatak (Active constituents) aur Nutrients

Ashwagandha ke alag alag parts mein alag alag properties sakriya ghatak paye jate hein jaise alkaloids, oils, amino acids, flavonoids, tannins, saponins, fatty acids ke alawa calcium, iron, magnesium, manganese, zinc,  potassium, aur starch jaise nutrients paya jate hein. Islke alawa doosre kayi gathak aur nutrients bhi paye jate hein jinke. In sabhi constituents aur nutrients ke karan Indian ginseng ko shaktishali medicinal properties milti hein.

Ashwagandha Powder ke Medicinal Properties (औषधीय gun)

  • Aphrodisiac – jo aapki sexual power ko bhadata hai
  • General tonic – jo weakness kam karta hai aur health improve karta hai
  • Anodyne property- yani dard ko kam karne wale gun
  • Anti depressant – avsad ghatane wale gun
  • Anti stress – mansik tanav ya tension kam karne wali property
  • Immune boosting – rog pratirodhak shamta bhadana
  • Anti oxidant
  • Carminative- pet ki samasaya jaise pet dard, gas ko kam karna
  • Cardioprotective
  • Anti diabetic
  • Anti cancer
  • Anti asthmatic
  • Anti malarial
  • Neend bhadane wali
  • Body ki relax rakhne wale gun
  • Brain function sudharne wale gun

Iske alwa aur bhi bahut se gun paye jate hein jo ki is herb ko manav ke liye vardaan banate hein. Oopar aapne kyai health problems ke bare mein padha unke alawa ye herb neeche likhe hua rogo mein bhi labhkari hai

Chinta, dukh, akasmik aaghat,  ADHD, chid chidapan, social phobia, neend ki kami, headache, migraine, vertigo, vitiligo, Alzheimer rog, weak memory, dementia, seizures,amnesia, delirium, learning disability, drug addiction, sciatica, arthritis, muscle pain, joint pain, frozen shoulder, fibromyalgia, erectile dysfunction, low libido (sambhog mein ruchi kam hona) , uterine weakness, leucorrhoea, banjhpan etc.

Itna hi nahi ye herb safed daag (leucoderm), AIDS, T.B, respiratory disease, multiple sclerosis, ghav bharne mein, kamar dard, fungal infection, liver problems, hiccups (hichki) aadi problems ke ilaj mein bhi abhut upyogi hai.

Ashwagandha Benefits in Hindi | Ashwagandha ke fayde | Health Benefits

Ashwagandha hazaron salo se apne health benefits ki karan anginat bimariyon ko door karne ke liye use ho raha hai. Ise doodh,g hee, shahed, pani aadi ke saath grahan karke iske swasthya labh ka fayda uthya ja sakta hai. Aaiye jante hein ki kya hein ashwagandha ke fayde (benefits).

General Health Tonic

Ashwagandha powder ka regular sevan karne se aapka immune system strong banta hai jisse aapko bimariyon (diseases) se ladne ki shakti milti hai. Ye tanav ko door karta hai, stamina aur power badhata hai aur aapko lambe samay tak young aur healthy banaye rakhta hai. Ye students aur players ke liye bahut faydemand hai kyonki ye unki concentration aur performance ko increase karta hai. Rojana 500 mg Indian ginseng powder ko doodh ke saath lene se aap iski tonic properties ka fayda utha sakte hein.

Heart Health Badhaye

Ashwaganda kayi parkar se hearth ki health ko sudharta hai. Pehla to ye ki is herb mein anti oxidants properties paye jate hein jo ki free radicals se hone wale heart ko nukasan ko kam karte hein. Doosra Indian ginseng ki antiinflammation properties body aur heart mein inflammation ghatati hein aur blood vessels mein hone wale plaque buildup ko kam karti hein. Teesra is herb ki anti stress properties stress ke karan heart par padne wale bure parbhav ko kam karti hai. Iske saath hi ashwwagandha ke energy boosting gun heart ki muscles ko proper karya karne ke liye energy pardan karte hein.  Iske saath hi ye cholesterol aur lipid profile ko bhi normal rakhne mein help karti hai. Yani ye herb har tarah se aapke heart ko healthy banaye rakhti hai aur aapko strokes aur heart attack jaise problems se bachati hai. Is herb ko aksar arjuna herb ke saath milakar dil ke rogiyon ko diya jata hai.

High Blood Pressure kam Kare

Ashwagandha mein calming, anti-hypertensive aur stress relieving properties payi jati hein jo aapka stress kam karti hein aur aapke blood pressure ko bhadne se rokti hein. Agar aapko blood pressure ki shikayat hai to is herb ka powder doodh ke saath lene se jayada faida hoga. Aksar ayurvedic doctor Indian ginseng ke saath sarpgandha, jatamansi, mukta pisti, arjuna aadi herbs ka combination lene ki salah dete hein. Ye sabhi jadi butiyan blood pressure ghatane mein use hoti hein.

Stress , Anxiety and Depression

Aajkal har kisi ki apni apni problems hein aur isliye aksar hum stress, anxiety aur depression ka shikar ho jate hein. Ashwagandha mein bahut asardaar anti-stress, anti-anxiety, aur calming properties payi jati hein jo ki mansik tanav, phobia, chinta, avsaad aadi ko door karne mein help karti hein.  Iske adaptogenic property hamein stress aur badalti paristhitiyon (conditions) ke saath mukabala karne mein bhi sahayta karti hai.  Ashwagandha, brahmi, gotiukola aur jatmansi ka combination vishesh roop se stress, anxiety aur depression ke ilaj ke liye labhkari hai.

Proof: ek study mein researchers ne paya ki ashwagandha GABA (Gamma Amino-Butyric Acid) ki tarah karya karta hai jo ki anxiety aur panic attack ko door rakhne mein helpful hota hai.

Nerve and Brain Functions

Ashwaganda ko ayurvedic medicine mein bahut hi acha nerve aur brain tonic mana jata hai. Ye gun brain aur nerves (tantrikaon) ko bheetri (internal) aur external  karak jaise environmental factors se suraksha pardan karte hein aur aapko degenerative disease jaise alzehmier’s aur Parkinson disease jaise rogo bachate hein. Indian ginseng ke gun nerve cells ke axons and dendrites ko regenerate karke aapke nerve cells ke beech communication ko durust (theek) karte hein. Ye dimag aur body ke damaged nerve cells ki repair karta hai aur unki healthy growth ko bhi promote karta hai. Ye alzehimer aur doosre mansik rogion mein cognition aur yadasth (memory) improve karta hai. Itna hi nahi ashwgandha mein paye jane wale gun aage hone wali nerve aur brain damage ke chance ko kam karte hein. Ye herb ek acha barin food hai jo aapki samara shakti, concentration aur brain power ko badhake aapki life ki quality mein sudhar lata hai.

Muscle mass aur strength badhaye

Ashwgandha ke vishesh gun aapki muscle weakness ki problem ko door karte hein aur aapke muscles mass aur strength badhane mein help karte hein. Isliye agar aap khiladi hein ya senior citizen hein to aap is natural herb ka rojana doodh ke saath sevan karke apni muscles power, endurance aur takat ko bhadake apni kamjori ko door kar sakte hein.

Arthritis and Joint Health

Aap sab jante hein ki arthritis ek painful condition hai jo ki body mein inflammation ke badhne ke karan hoti hai. Ashwagandha ke anti-arthritic gun is inflammation ko kam karte hein aur arthritis ke lakshan jaise sujan (swelling), pain, redness ko bhi ghatane mein madad karte hein. Iske alawa ye herb aapki joints ki flexibility bhadate hai aur unka movement saral karti hai.

Rhumatoid arthritis mein aapko 2 gram ashwagandha, 1 gram punarnava, 1 gram giloy,500 mg nagarmotha aur 300 mg trikatu garam pani ke saath lene ki salah di jati hai. (din mein 2 baar)

Isi parkar osteoarthritis mein aapko 2 grams ashwagandha, 1 gram mulethi, 1 gram gokshura, 250mg nagarmotha aur 300 mg trikatu churna din mein 2 baar pani ya doodh ke saath lene ki salah di jati hai.

Note: Sahi jankari ke liye apne ayurvedic doctor se jaroor milein.

Bones Ko rakhiye Healthy

Ashwagandha keval health ya brain tonic hi nahi balki isme wo sabhi gun paye jate hein jo aapki bones ko healthy rakhne mein madad karte hein.  Is herb ka nirantar sevan aapki haddiyon par calcium ke jamne ki kriya ko badhata hai jisse aapko milti hein majbbot bones. Saath hi ye aapko osteoporosis jaise bone diseases se bhi bachata hai. Aap apni bones ko majboot rakhne ki liye rojana do baar 2 gram ashwagandha,1 gram hadjod aur 1 gram  arjuna ke mixture ko doodh ke saath piyein.

Agar aapko osteoporosis ki shikayat hai to iske liye ayurvedic doctors parval pishti, godanti bhasma, mukta pishti aur mukta shukti pishti aadi calcium supplements lene ki bhi salah dete hein.

Diabetes ka natural Ilaj

Ashwaganda herb ko kayi centuries se diabetes ke ilaj ke liye upyog kiya ja raha hai. Ek experiment mein researchers ne paya ki jin logo ko ek mahine ke liye ashwagandha powder daily diya gaya tha unka fasting aur post-lunch diabetes test normal aaya. Indian ginseng ke roots aur leaves mein bi blood glucose  ghatane wale gun paye jate hein jo ki type 2 diabetes ke ilaj ke liye bahut faydemand sidh hue hein.

Cancer Prevention and Treatment

Is herb ki anti cancer properties aapko cancer se bachane mein help karti hein. Research mein ye sidh ho chukka hai ki ashwagandha extract color, breast aur lungs cancer se bachane mein kafi helpful hai. Ashwagandha ki ye anti cancer property chemotherapy mein use hone wali dawai doxorubicin ke saman hai. Indian ginseng ke ki antioxidant properties body mein paye jane wale free radicals ke effect ko kam karke body ko oxidative stress se bachate hein.  Itna hi nahi ye herb chemotherapy ke side effects ko bhi kam karti hai.

Liver ko Swasthya Banaye

Sharab, medication aur doosre hanikarak padartho ka sevan karne se liver damage hota hai aur uske normal functions par bhi bura asar padta hai. Ye padarth body mein “reactive oxygen species” bhadate hein jinse liver aur doosre organs ko damage hota hai. Ashwagandha ke antioxidants aur doosre gun in species ko kam karke liver ke cell structure ko sudharte hein aur liver ke function ko mormal karte hein.

Gatric Ulcers

Pet mein ulcers kayi karno se hote hein jaise NSAIDs drugs ka use, alcohol ka sevan, smoking, asprin ka jayada use aadi.  Inke alwa free radicals apne hanikarak effect ke karn bhi ulcer ki problem badhate hein. Ashwaganda abhut prabhavi dhang se in ulcers ko door karne ki shamta rakta hai kyonki iski ulcer treatment shakti , allopathy medicine ki ulcer treatment drugs ke saman hoti hai. Iske alwa iske antioxidants free radicals se hone wale ulcers se suraksha pardan karte hein. Isme ye anti ulcer aur gastro protective  gun flavonoids aur anti oxidants ke karan hote hein.

Memory aur Concentration badhaye

Ye herb students aur un logo ke liye bahut upyogi hai jo log kisi competition ke tayari kar rahe hein. Aksar is herb ko ginger (adrak) ke saath paste ya soup ke roop mein memory aur concentration power badhane ke liye use kiya jata hai. Ye aapki alterness ko bhi badhata hai. Saath hi ye seniors citizen mein cognition ko bhi bhadata hai. Ashwagandha ke is effects ke karan ise kayi parkar ki mental illness ke ilaj ke liye upyog kiya jata hai.

Anti Bacterial Property

Ayurvedic medicine ke anusaar ashwagandha herb mein bahut hi effective anti-bacterial properties payi jati hein. Is baat ko check karne ke liye Allahabad university mein research ki gayi aur ye saamne aaya ki vastam mein is herb mein bahut storng anti bacterial gun paye jate hein aur iska niyamit sevan karke aap urogenital, respiratory aur gastro intestinal infection se bach sakte hein.

Napunsakta aur Banjhpan (Male and female Infertility)

Males mein napunsakta ki mukhya vajah hai shukranu ki kami hona yani oligospermia.  2 grams ashwagandha ko kuch doori herbs 1000 mg vidarikand, 500 mg mulethi, 500mg shatavari aur 125 mg trikatu ke saath milakar rojana 2 baar doodh ke saath liya jata hai. Isse males mein sexual power increase hoti hai, sperm count badhta hai, ED ki samsaya door hoti hai aur shigra patan rukta hai jisse aadmi sambhog ka purna anand le sakte hein.

Isi parkar ladies mein banjhpan uterus aur overies ki health achi karke door kiya jata hai. Is case mein ayurvedic doctors 2 grams ashwaganda powder din mein 2 baar doodh ke saath peene ki salah dete hein. Period ke samay is treatment ka upyog na karein.

Bacho Mein Weakness (General debility)

Kabhi kabhi bacho mein kisi lambi bimari ke karan ya aparyapt poshan ke karan kamjori aa jati hai. Is case mein aapko ye karna hai li half glass milk aur half glass water ke mixture mein 1 gram ashwagandha powder ko boil karna hai. Jab ghol aadha reh jaye tab use thanda karke thoda gud mila dijiye. Ye mixture apne bache ko dijiye. Isse unki recovery jaldi hogi aur wo pehle ki tarah swasthya ho jaayenge.

Hypothyrodism Ka upchar

Hypothyrodism ke rogi ke upchar ke liye ashwgandha ka upyog kiya jata hai . Iska karan ye hai ki is herb mein paye jane wale vishesh chemicals thyroid gland ke hormone screation ko prarit karte hein.

Blood Production mein Helpful

Ashwagandha ki hemo-poetic properties body mein naye blood ke ban ne ki kriya ko prarit karti hein isliye ye herb un logo ke liye bhi useful hai jo anemia ki problem jhel rahe hein.

Eye Health

Researchers ye jaan chuke hein ki Indian ginseng mein paye jane wale antioxidants eyes ko cataract aur doosri kayi bimariyon se bachate hein.

Neend na aane ka gharelu ilaj

Ashwagandha insomnia ya neend na aane ki problem ko treat karne mein bhi bahut effective hai. Roj bed par jane se ek ghanta pehle doodh ke saath ashwagandha powder lene se achi neend aati hai aur sabhi parkar ke mansik tanav door hote hein.

Beauty Benefits of Ashwagadha

Article ke is section mein hum janege ki ye herb kis tarah skin aur hair health sudhar kar aapki beauty badhati hai.

Skin Care Benefits| Twacha ko Hone wale fayde

Ageing ko roke

Indian ginseng mein kuch khas anti oxidants paye jate hein jo shareer mein paye jane wale hanikarak free radicals ke parbhav ko khatam karne mein help karte hein jiske falsavroop ageing related problems jaise fine lines, wrinkles, dark spots aur blemishes jaise skin flaws (imperfections) hone ki sambhavana khatam ho jati hai. Ye skin cancer hone se bhi bachata hai.

Ghav ka jaldi Bharna (Wound healing)

Ashwagandha mein natural healing properties payi jati hein jo skin par ghaav (wound) ko jaldi bharme mein help karti hein. Is herb ki leaves ka paste skin par lagane par wound jaldi bharne lagta hai. Isi parkar is herb ke powder ko pani ke saath paste banakar wound par lagane se infection hone ka khatra kam hota hai aur ghav jaldi bharna shuru ho jata hai.

Rukhi Sukhi Bejaan Skin (Dull, Rough and Dry Skin)

Ashwagandha keratosisnamak skin problem ko hone se rokta hai. keratosis skin ko rough aur dry bana deti hai. Agar ye condition kisi ko hai to use 3 gram Indian ginseng powder pani ke saath din mein 2 baar ek week tak lene se aaram milega.

Skin ko Healthy Rakhne Mein Helpful

Ashwagandha  body mein cortisol hormone ko kam karne mein help karta hai. Ye hormone skin ko sahara dene wale protein ko kam karta hai. Cortisol ke level kam hone se aapki skin hamesha healthy aur glowing bani rehti hai.

Collagen Production mein Helpful

Indian ginseng ka niyamit sevan karne se ye body mein estrogen aur DHEA hormone ko increase karti hai aur jinke falswaroop body mein collagen ka production badhta hai aur aapki sin tight aur younger looking bani rehti hai.

Gharelu Skin Toner (Homemade skin toner recipe)

Aap 1 teaspoon sukhi adhrak ka powder aur sukha nimbu ke chilke ka powder lijiye. Ab isme 2 teaspoon ashwagandha powder milakar mixture ko 200 ml pani ke saath boil kijiye. Ise chan kar bottle mein bhar lijiye aur iska use toner ki tarah se khijiye. Ye aapke open pores ka size kam karega aur aapko dega glowing skin naturally.

Inflammation Gathaye

Ashwaganda mein payi jane wali anti-inflammatory properties inflammation ko ghatane mein helpful hoti hein. Ye acne, pimples aadi ki inflammation ko kam karte aapko aaram deti hein.

Hair Care Benefits | Balo ko fayde

Balo ka tutna kare kam

Balo ka tootna aur jhadna ek aam samasya hai aur iska ek mukhya karan hai – stress yani mansik tanav. Indian ginseng ka regular use tanav ko kam karta hai. iske saath hi ye body mein cotisol  ke level ko bhi kam karta hai jo ki balo ke tootne aur jhadne ke kiye jimedaar hota hai. Is herb ka regular use aapko lambe aur majboot (strong) baal deta hai.

Hair ko rakhe Healthy

Ashwagandha digestion ko improve karta hai aur hanikarak toxins ko shareer se bahar karta hai aur iska asar aapki hair ki health par bhi padta hai.

Baal Safed hona (Premature hair graying)| Problem of white hair

Kuch log khaskar kam umar ke ladke aur ladkiyaan baal safed hone ki problem ke karan tension mein rehte hein. Ashwagandha asamay balo ka safed hone (premature hair whitening/graying) ki problem ko door karta hai. Is herb ke effects se hair mein melanin bhadta hai. Melanin ek varnak hai jise karan aapke balo ka rang kala hota hai. Iske alawa is herb mein paye jane wale amino acids aur antioxidants melanin ke level ko bhadate hein aur hair problems ko khatam karke aapko dete hein kale ghane baal.

Hair growth Badhaye

Agar aap lambe sundar bal pana chahte hein to ashwagandha ka regular sevan kijiye. Ye herb aapke scalp mein blood flow ko bhadati hai aur jiske laran aapke hair ko acha poshan mil pata hai aur unki growth teji se hone lagti hai aur aapkomilte hein lambe baal bina kisi hair products ya hair growth pill ke use ke bina.

Infection ko door rakhe

Ashwagandha aapke immune system ko strong banata hai aur iske karan aapko koi scalp infection nahi ho pati. Scalp infection aksar hair loss ke liye jimedaar hoti hai. Saath hi is herb ki anti inflammatory properties dandruff, scalp eczema, scalp psoriasis, scalp pimples aadi scalp related problems ko bhi door rakhti hein.

Asamay ganjapan kare kam

Ye herb androgenic alopecia yani balding (ganjapan) ki samasaya ko bhi door rakhne mein helpful hai. Iske regular use se aap premature hair balding se bach sakte hein.

Weight loss Mein Helpful

Ashwagandha kayi tarah se weight management aur weight loss mein help karta hai. Pehla to iski fat burning properties body mein paye jane wale fat ko kam karti hein. Doosra ye herb body ke kuch vishesh hormones ko control karke aapka muscle mass badhati aur aap jante hein muscles badhne se fat burn jaldi hota hai. Iske alawa is herb ka unyog aapki takat (strength). Stamina aur energy ko badhata hai jisse aap apne weight loss exercise theek se kar pate hein aur apne weight loss teji se kar pate hein.

Weight gain mein Bhi Helpful

Weight loss mein to aap padh hi chuke hein ki ye herb kitni upyogi hai lekin hum aapko yah bhi bata dein ki weight gain mein bhi ye usi parkaar kaam karti hai. Weight gain karne ka matlab ye bilkul nahi hai ki aap apne shareer mein fat bharke use mota kar dein aur us fat ke karan aapko high blood pressure, diabetes aur heart problems ka samna karna pade. Ashwagandha aapki metabolism ko increase karta hai jisse aapka digestion sudharta hai aur khana apke shareer ko lagne lagta hai aur aapka muscles mass bhadta hai. Aapko achi body pane ke liye apna muscle mass badhana hai na ki kewal mass (fat). Isliye apni exercise aur diet ke saath is herb ka upyog kijiye aur kuch hi weeks mein payiye sudol shareer.

Ashwagandha for Increasing Height (Height Kaise badhaye – Ek saral Remedy)

Ashwagandha herb doosri health problems par to asar karti hi hai lekin ye unke liye bhi bahut upyogy hai jin logo ki height kam hai aur jo apni height aasani se badhana chahte hein. Ye herb piyush gland ko HGH yani human growth hormone stravit karne ke piye prarit karti hai. Ye hormone manav ki height badhane ke liye jimedaar hota hai. Agar aap apni height 18 to 25 saal ke baad increase karna chahte hein to aap ek teaspoon Indian ginseng herb ka powder ek glass doodh ke saath gholiye aur isme thoda sa gud mila lijiye. Is mixture ko roj raat ko sone se pehle pee lijiye. Aisa 45 days ke liye kijiye, aapki height mein positive effect padega.

Additional Benefits of Ashwagandha in hindi

  • Ye aapki learning ability ko badhati hai.
  • Mood swing ki samasaya door karti hai aur mood acha banaye rakhti hai.
  • Neend ki problem ko jad se khatam kart hai.
  • Ye WBC ko increase karta hai jisse aapki shareer ki defense power strong banti hai.
  • Ye blood mein platelets ko bhi badhati hai aur khoon ke thakka (clotting) parkriya ko tej karne mein bhi sahayak hai.
  • Ye lungs se balgam hatane mein bhi asardaar hai.
  • Ye balo mein joo yani head lice problem ko door karne mein helpful hoti hai.
  • Ye food poisoning karne wale bacteria ka safaya karti hai aur aapko future mein is samasaya se door rakhne mein help karti hai.

Kya hai Ashwagandha ki Dose|daily dose | safe dose

Yaha hamesha ki tarah hum aapse ye request kareinge ki aap sahi dose ke bare mein jaan ne ke liye apne doctor ki shalah jaroor le lein kyonki ashwagandha ki dose patient ki height, age, gender, weight aadi par nirbhar karti hai.

Samanya roop se iske minimum dose 250mg tatha maximum 6 grams hoti hai lekin kuch cases mein ye dose 12 grams tak bhi ho sakti hai jise din mein do ya teen baar mein divide karke diya jata hai.

Agar aap ashwagandha extract use kar rahe hein to minimum dose 25 mg aur maximum dose 200 mg hoti hai.

Is herb ke safety is baat se pata chalti hai ki 2012 ashwagandha ke safety janchne ke liye ek study ki gayi jisme 18 healthy aur young subject ko 30 days ke liye is herb ke capsule diye gaye. Har 10 din baad dose increase ki gayi yani pehle 10 days 750 mg fir 1000 mg aur fir 1250 mg. 30 days baad scientists ko koi bhi side effect nazar nahi aaya. Un 18 subject ke sabhi tests bhi normal aaye. Isse ye sabit hota hai ki 4 grams ashwagandha prati din lene se koi bhi side effect hone ki sambhavana bilkul nahi ke barabar hogi.

Ashwagandha Side Effects | Ashwagandha ke Nuksan

Agar kisi herb ke fayde hein to uske kuch nuksan bhi jaroor honge.  Waise to, ashwagandga ko ayurvedic medicine mein side effects free mana gaya hai lekin aapke doctor dwara batai gayi matra ya 10 gram se jayada iska sevan karne se aapko kuch nuksan bhi ho sakte hein jaise:

  • Stomach upset ( pet ki gadbadi)
  • Pet mein bharipan
  • Loose motion yani dast
  • Low blood pressure
  • Heart ki rhythms mein change
  • Low blood sugar (unme jo diabetes ki dava le rahe ho)

Males yani aadmiyon mein stano ka vikas jise medical bhasha mein gynecomastia  bhi kehte hein. Halaki ye condition rare hai lekin lambe samay take ashwaganda ki heavy dose lene se aisa ho bhi sakta hai.

Ashwagandha ko kaise Khaye (how to use Ashwagandha)

Aap ashwagandha ko kisi achi ayurvedic herbal shop se khareed sakte hein.  Aam taur par is powder ke roop mein khaya jata hai aur is raat ko garam doosh ke saath lene ki salah di jati hai. Aap ise capsule form mein bhi market se le sakte hein. Apne doctor ki salah ke anusaar in capsules ka use karna chaiye. Ashwagandha ke ek teaspoon ko ek cup pani ke saath kuch minutes  boil  karke iski tea bhi banai jati hai.

Ashwagandha ka Sevan kab na kare ( when not to consume or use  Ashwagandha)| Safety Instructions

  • Agar aapko koi autoimmune disorder ho jaise multiple sclerosis, lupus, rheumatoid arthritis etc.
  • Agar aap pregnant ya breast feeding mother ho.
  • Agar aap depression, anxiety, diabetes, high blood pressure, insomnia (neend na aana) ki dawa (medicine) le rahe ho
  • Aapke pet mein ulcer ho
  • Yadi aapko ashwagandha se allergy ho
  • Yadi aapko aaloo, tamatar aur pepper ke digestion mein problem hoti ho
  • Agar aapki surgery hui ho ya hone wali ho
  • Agar aapki paravarti (nature) pitta ho (heat in body)
  • Agar aap sharab (alcohol), thyroid supplements, barbiturates, benzodiazepines aadi ka sevan kar rahe ho.

Ab aap jaan gaye honge ki kya hein ashwagandha khane ke fayde aur nuksan (benefits and side effects). Uske gun, dose aur upyog ke tarike. Sabse acha yahi hota hai ki aap koi bhi herb apni health ke liye use karne se pehle apne doctor ki salah jaroor le lein.

लोगों की इतनी help की लेकिन हमारी नयी वेबसाइट like नहीं की अभी तक 😥

Hello! I'm Suven, a Computer Engineer, Naturopathic Doctor, Certified Nutritionist, and adept Astrologer. My passion for holistic well-being and celestial insights drives my diverse expertise. I weave together technology and ancient wisdom to explore health, lifestyle, and astrology in my writing. Join me on a journey to balance and fulfillment, where science, nature, and the cosmos harmonize for optimal well-being. Feel free to connect; let's explore this enlightening path together!

2 thoughts on “Ashwagandha Benefits and Side Effects in Hindi – Indian Ginseng Ke Fayde aur Nuksan”

Leave a Comment

Don`t copy text!