Ashwini Mudra Benefits and Side effects in Hindi

Ashwini mudra yoga ki ek bahut hi prachlit (famous) mudraon (poses) mein se ek hai. Ashwini means horse (ghoda) aur mudra means pose (aasan). In short ye horse pose hai jo ki akasar ghode ke dwara kiya jata hai aur is pose ko hi horse ki physical aur sexual power ke liye jimedaar mana jata hai. Ashvini mudra ko English mein pelvic floor exercise ya kegel exercise bhi khete hein. Naam bahele hi alag hein lekin inke health benefits yani swasth labh samaan hein. Baat chahe peshab ki leakage ki ho ya low sexual power ki, yaa fir ling ki power aur yoni ki muscles strong karne ki. Ye mudra aapki har samasaya ko door karne mein kafi labhprad mani jati hai.

ashwini mudra

Ashwini pose yoga ka advance pose hai jise yoga expert body ko fit aur healthy rakhne ke liye karne ki salah dete hein. Is asan se aapke sabhi rog door ho sakte hein,ghutno ki aur kidneys ki problems bhi gayab ho jati hein. isse  pelvic muscle strong banti hai aur saath hi ye mudra aapki body mein urja yani energy ko generate, redirect aur recharge karne ke saath saath uska sahi distribution bhi karti hai jiske falsavroop aap mein nayi urja ka sanchar hota hai aur aapke har organ ko prayapt urja milti hai jisse wo sabhi ang theek se karya kar pate hein aur aapki aayu labhi hoti hai. Is article mein hum janege ki is mudra ke fayde, nuksan (side effects), swasth labh kya hein. Saath hi hum ashwini mudra se jude kuch mehtavpoorn prashno ki bhi charcha karenge.

Ashwini Mudra Karne ke Vidhi | Ashwini Mudra yoga steps in Hindi

Yoga mein ashwini asan ko beginners pose mana jata hai jo ki karne mein aasan hai aur ise aksar mula bandha aur vajroli mudra ke saath kiya jata hai.  Is mudra ko karne ke liye kuch steps hote hein ho ki neeche diye gaye hein.

Sabse pehle comfortable sithi me baith jayein sukhasan mein bethna acha mana jata hai lekin aap padmasan aur siddhasan bhi use kar sakte hein. Kuch logo to ise chair par beth kar yak hade khade karne ki bhi salah dete hein.

Ab thodi der sahi breathing movements maintain karke apne aap ko relax karein.

Ab saans andar keenchte hue apni guda ki muscles (anal sphincter ya pelvic muscle) ko andar ki tarf kheenchiye. 2 seconds tak kheenche rakhne ke baad guda ki muscle ko relax kijiye.

Agar aap aadmi hein to aisa 4 baar kijiye aur yadi aurat to 5 baar. Aisa karne se aapko aapne shareer ke nichle bag se head ki tarah urja ya prana flow hoti mehsoor hogi (jaisa kam kapi aane par hota hai)

Ashwini mudra ke benefits in Hindi jaanne se pehle kuch jaroori batein jaan lijiye.

Kaise lagayein pelvic muscles ka pata?

Ladies mein is muscle ka pata lagane ka sabse saral tarika hai ki aap apne mutra (urine) ko beech mein rokiye. Rokte samay jis muscles mein sankunchan hota hai wahi aapki pelvic muscle hai.

Gents mein ise pata lagne ka sabse badhiya trika hai ki aap gas pass hone se rokte hue jis muscle ko andar kheenchte hein wahi aapki pelvic muscle hoti hai.

In short aapko apni guda ki muscles ko andar ki taraf keenchna hai.

Ashwini Mudra Karte hue Kya na Kare | Kya Side Effects ho sakte hein is Mudra se

Yaha kuch jaroori batein hein jinhe aapko tab follow karna hai jo aap is mudra ya pose ki practice kar rahe ho.

Hamesha is exercise ki practice ekaant mein karein kyonki bheed bhaad mein aap dhang se concentrate nahi ka payenge aur galat exercise karne se side effects bhi ho sakte hein.

Aap is exercise ke repetitions ko badhate hue 10 tak for 10-10 ke teen sets rojana karne ki koshish karein. Isse jayada karne ki koshish na karein.

Agar aapko shuru mein maan chaha result na mile to kabhi bhi nirash na ho. Koynki har body alag hoti hai aur kisi body mein results jaldi aate hein aur kisi mein der se.

Jab bhi aap ye mudra kar rahe ho tab breathing karte samay apne hips, legs, back aur pet ko relax rehne de. Yadi aapko in bhago mein dard mehsoos ho to iska seedha arth hai ki aap ye mudra theek se nahi kar rahe hein. Is case mein kisi ache yoga expert ya instructor ki help le lena hi sahi hoga.

Is mudra ko limit se jayada nahi karna chahiye kyonki aisa karne se nuksan bhi ho sakta hai aur is mudramein lipt  organs apni karya shamta ko sakte hein.

Hamesha saans andar lete samay guda ko andar ki aur keenchna hai aur saans guda relax karte samay saans bahr ki aur chodna hai.

Jayda der tak guda ko keenche nahi rakhna hai. 2 se 4 seconds mein wapis starting position par le aana hai.

Ashwini Mudra ke Fayde |Benefits of Ashwini Mudra in Hindi

Ashwini mudra ke swasthya par hone wale kayi fayde  (health benefits) hain. Inme se kuch hum aapko neeche ke section me bata rahe hein. jayada jaankari ke liye aap apne yoga practicnor ki help le sakte hein.

Ashwini yoga  mudra aapki pelvic muscle ko strong banakar premature ejaculation (shrighrapatan), erectile dysfunction (mardana kamjori ya napunsakta), dhat rog, night fall aadi ko rokne mein help karti hai.

Ise regularly practice karne se aapki guda ki muscles takatvar banti hein jiske falsavroop aapko bawasir (piles/hemorrhoids) ki pareshani kabhi nahi hoti. Isliye ye unke liye kafi upyogi hai jo ghanto computer kea age bethe rehte hein. Piles hone ki stithi me ise karne se bawaseer jaldi heal hoti hai.

Is pose ko pregnancy ke dauran karne se maa ko bache ka weight sehne mein help milti hai. Saathi hi delivery ke samay ma ko bacha paida karne mein bhi aasani hoti hai.

Is mudra ko karne se aapka poora pelvic region strong banta hai.

Isse aadmi ki physical health ke saath saath mental aur spiritual health bhi achi hoti hai.

Ashwini mudra stomach health ko accha banati hai.

Isme energy ka regeneration aur distribution behtar hota aur ye energy aapke shareer ki proper function ke liye jaroori hoti hai.

Ye un logo ke liye khas labhdayak hein jinhe peshab ko roke rakhe mein pareshani hoti hai.  Yani jo log peshab leakage problem se grasit hote hein.

Isse gurde (kidney) ke disease bhi theek ho jate hein.

Ise niyamit karne se aapka ageing process slow hota hai falsavroop aapki age badhti hai aur aap lambe samay tak jeete ho.

Aisa kaha jata hai ki isse kundalini jagran bhi hota hai.

Ye aapki mental alertness ko badhti hai aur aapke mood ko bhi acha karti hai.

Isse kabj se bhi mukti milti hai aur aapki general health achi rehti hai.

Note: pregnancy aur uterus problem hone par apne doctor se pooch kar hi is pose ko karein.

Ye the ashwini mudra ke fayde benefits hindi mein. Aap is mudra ko roj karke oopar diye gaye sabhi health benefits paa sakte ho. Lekin yadi aapko koi serious rog hai to aapko apne doctor ki help le leni chahiye. Saath hi sabhi parkar ki yoga exercises kisi ache yoga expert ki dekh rekh mein hi karni chahiye jisse ki aap sahi type ki exercises sahi dhang se karein aur aapko koi nuksan na ho.

लोगों की इतनी help की लेकिन हमारी नयी वेबसाइट like नहीं की अभी तक 😥

Hello! I'm Suven, a Computer Engineer, Naturopathic Doctor, Certified Nutritionist, and adept Astrologer. My passion for holistic well-being and celestial insights drives my diverse expertise. I weave together technology and ancient wisdom to explore health, lifestyle, and astrology in my writing. Join me on a journey to balance and fulfillment, where science, nature, and the cosmos harmonize for optimal well-being. Feel free to connect; let's explore this enlightening path together!

Leave a Comment

Don`t copy text!