Pimples Treatment and Solution Tips in Hindi – Gharelu Nuskhe (Home remedies) aur Ilaj ke Upay

Pimples jise hum beauty spots ya muhase ke naam se bhi jante hein, ek badi hi aam problem hai jo ki aksar nav yuvko aur nav yuvtion mein dekhne ko milte hein. Halaki ye kabhi bhi aur kisi ko bhi ho sakte hein lekin aksar inka shikar wo log hi jayada hote hein jo ki apni yovanavastha mein kadam rakhte hein. Ye beauty spot aapke looks to parbhavit karta hi hai saath hi ye mental tension ka bhi karan mana jata hai aksar unmein jo ki apni physical appearance ke prati jayada conscious hote hein.  Aur yadi ye sopt face (chehre)  par ho jaye to kuch log to ghar se nikalna tak band kar dete hein.  Waise to pimple hone ka sahi karan abhi bhi unknown hai lekin is samasya ka main karan aapki pasine wali glands ka band hona mana jata hai.

pimples remedies

Pimples treatment tips aur uske Hindi mein solution ke bare mein padhne se pehle ye jaan liya jaye ki acne ya pimples hote kyon hein.  Aapke shareer par payi jane wali sebaceous glands (pasine wali granthi) dust, pollution, dead skin cells ke karan block ho jati hein. Aur bacterial infection ho jata hai jisse  aur inflamed ho jati hai tatha unmein bacteria, WBC aur dead skin cells bhar jati hai jise hum pus ke naam se bhi jante hein.  Ye muhase aapke naak (nose), chehre (face), back, haath, gardan (neck), mathe (forehead) aadi kahi par bhi ho sakte hein. Pimples hone Ke Karan neeche diye gaye hein.

Pimple Hone Ke Karan | Causes of Pimples in Hindi

  • Pasine ki granthi block hone ke kayi reasons hain jaise
  • Skin ki proper dekh bhal na karna
  • Personal hygiene ki kami
  • Hormonal Changes hona
  • Heredity
  • Make up
  • Kuch skin care products ka use
  • Skin allergy
  • Period and pregnancy
  • Kuch medicines ka side effect
  • Mansik tanav (stress) – ye immunse system weak karta hai falsavroop bacterial infection aasani se ho jata hai
  • Blackheads
  • Unhealthy diet khana

Ye kuch causes hein jo ki aksar keel muhase ya pimples ke lijiye jimedaar hote hein. Ab aaiye jaan le ki ye pimples hote kitne types ke hein.

Pimples ke Parkar | Types of Pimples (Acne)

Whiteheads – Isme aapke skin ka pore puri tarah se block ho jata hai aur uske centre mein safed rang ki pus si dikhiye deti hai aur yahi karan hai ki ise hum whitehead kehte hein.

Blackhead – Isme pore poori tarah se block nahi hota. Pasina aur dead skin cells ke oxidation hone se ye kale rang ke dikhai dete hein. Aksar naak par hote hein.

Pustules – Ye laal rang ke bumps hote hein. Inka centre peela ya safed ho sakta hai.

Papules – Ye pustules ke saman hote hein ye hair follicle ke infection aur inflammation se bante hein.

Nodules –  Isme pimple ke neeche ek ganth si ban jati hai. Ise nodular acne bhi kehte hein. Ye aksar painful hote hein.

Cysts- Ye sabse painful hote hein aur aksar ye theek hone ke baad daag chod jate hein.

Inke alawa acne rosacea, back acne, ance conglobata, acne fulminans aadi doosre kayi parkar ke pimple bhi paye jate hein.

Is article mein hum Padhenge – Pimples treatment in hindi, kuch solution tips,  Kya hein pimples thik karke ke gharelu nuskhe, ilaj ke kuch doosre tarike, homemade ance face masks,  ayurvedic  tips, diet for pimples, Pimples ke bachav ke upay aur kuch doosre tips jo ki aapko future mein is beauty problem se bachne mein help karenge. To aaiye sabse pehle jaan lete hein kuch medical options jo ki aksar doctor inhe treat karne ke liye use karte hein.

Kya hai Pimples ka Allopathic Treatment ?

Aksar log muhase hone par over-the-counter cream, lotion, solution aur dawa ka paryog karte hein. Aur aisa karne ke liye unhe tv aur newspaper ki advertisement prarit karti hai. Lekin dosto agar aapko ye problem hai to gharelu nuskhe ke saaath saath aapko apne doctor se sahi ilaj bhi lena chahiye. Aksar doctor acne ke liye skin par lagane wala koi topical solution, cream dete hein. Aur yadi problem badi ho to wo aapko anti biotic dawa bhi lene ki salah dete hein. Isi parkar pimples ke dag hatane/mitane keliye aapko topical cream di jati hai. Lekin yadi aapki problem bahut jayada serious hai to aksar aapke doctor aapko vishesh treatments jaise laser therapy aur doosre cosmetic procedures bhi deta hai.

Medical Treatment tips use karne ke saath saath ye bhi jaroori hota hai ki aap kuch aise kadam uthayein jinse aapke  samasaya ka samadhaan jaldi ho sake. Iske liye aapko exercise, personal care, diet tips, prevention tips aadi follow karne honge.

Medical treatment ke alawa aapko khud ka home treatment bhi kar sakte hein. Aur aisa karne ke liye aapko bahut badi cheezon ki jaroorat nahi hai balki aap gharelu cheezein use karke aapne pimple ko jaldi heal kar sakte hein. Gharelu ilaj aapko kisi parkar ka side effects ya nuksaan nahi hone dega.  Neeche kuch Pimples on face home treatment tips in hindi diye gaye hein.  Ye treatment aapke pimples marks ya daag bhi hatayenge. To aaiye jante hein ki apne chehre par keel muhase ki samasya se mukti kaise paye.

Pimple Treatment Tips in Hindi|Muhase ke Liye Gharelu Nuskhe| Ayurvedic upchar| Home remedies for Pimples in Hindi | Acne ke Liye Gharelu Ilaj aur Upay

Chehre ke muhase yani facial pimples aksar pareshani ka karan hote hein aur theek hone ke baad ye aksar apne marks ya nishaan chod jate hein. Inhe sahi dhang se hatane ke liye hamari team ne research karke aapke liye kuch asardaar gharelu ilaj dhoonde hein. Ye tarike wo hein joki bharat mein  keel mushase aur unke dag mitane ke liye sabse jayada use kiye jate hein. Ye face pimple treatment tips in hindi aapke liye kafi helpful sabit ho sakti hein.

Ice Treatment

Yadi aapk face ke muhase door karne ke bare mein soch rahe hein to iska ilaj aapke fridge mein chupa ho sakta hai… Ji haan burf yani ice. Aksar ise log pimple hone ke turant baad first remedy ke roop mein use karte hein.  Muhase wale sathan par ice lagane se swelling aur inflammation jaldi theek ho jati hai. Saath hi thanda temperature aapke pores ko bhi band karta hai. Is vidhi se aapke chehre ki gandgi bhi door ho jati hai, Bas ek ice cube ko apne face par kuch der maliye aur muhase wali jagah par kuch der rakhiye.

Lemon Juice se Ilaj

Ye muhase aur uske daag ko mitane ki sabse badhiya remedy hai. Lemon mein skin ko gora karne wale aur infection ghatane wale gun paye jate hein. Iske subhe uth kar sevan karne se means nimbu pani peene se aapka immune system strong banta hai tatha skin par keel muhase honay ke chances bhi kam hote hein. Isko skin par lagane se muhasey ke dag bhi jaldi gayab hojate hein. Yadi aapke face, shoulder, back ya aur kahi ko pimple hai to us par raat ko sone se pehle nimbu ka fresh juice lagaiye. Dal chini aur mimbu ke ras se bani paste sone se pehle dane par lagane se bhi kafi fayda hota hai. Yadi aapki skin sensitive hai to aapke ye nuskha use nahi karna.

Lenon juice ko honey ke saath milkar aap iske gun double kar sakte hein. Isse lemon juice dilute bhi ho jata hai aur jalan kam hoti hai. Isliye yadi aapki skin dry aur normal type ki hai to aap lemon juice ko shahad milakar dilute kar lijiye.

Dalchini Se Acne Kijiye Remove

Dalchini mein infection kam karne wale aur doosre aise gun paye ate hein jo pain aur swelling ko kam karke aapke keel muhase ko jaldi hatne mein kafi helpful ho sakte hein. Bas bhuni hui dalchini ka powder honey ke saath mila lijiye. Is paste ko dane wale sathan pa lagaiye aur 20 minutes baad dho lijiye. Ye ek asardaar anti-pimple mask hai.

Tulsi for Acne

Tulsi ya holy basil ke leaves mein anti inflammatory, dard nivarak aur infection se ladne wale gun hote hein. Saath hi isme sunn karne wale gun bhi hote hein jo ki aapko mahasey ke dard se chutkara pane mein help kar sakte hein, Aapko kuch leaves ki paste bana kar apne face par 10 minutes ke liye lagana hai aur fir saaf pani se dho lena hai. Hafte mein 4-5 baar aisa karne se nuhase gayab ho jaynege aur future mein bhi keel muhason se bachav hoga.

Neem Se Muhase ka Ilaj

Ye pimples ka best ayurvedic home treatment in hindi hai kyonki neem ko muhase ke ilaj ke liye ek ramban aushadhi mana jata hai. Yahi karan hai ki ise ayurvedic anti-acne cream aur lotions banane mein use kiya jata hai. Isme kudrati anti inflammatory, anti septic aur germs killing properties payi jati hein. Aap neem ki leaves ke paste tayaar kariye aur use keel aur muhase wali jagah par 20 minutes ke liye laga kar rakhiye.  Future mein bachav aur skin par infection ke chances ko khatam Karne ke liye. Ek jug pani mein 2-3 mutthi neem leave ko boil kariye. Fir is pani ko chaan kar apne nahane wale pani ki balti mein mila lijiye. Isse sanaan karne se aapko kabhi bhi keel muhason ki pareshani nahi hogi. Aur aapka rang-roop bi nikhrega.

Neem aur lemon juice paste acne infection aur pimples ke daag mitane mein bhi kafi asardaar hote hein.

Tea Tree Oil

Aap is oil ko herbal shop se aasani se khareed sakte hein. Ye oil jaldi se muhase sukha deta hai aur aapko pimples ke lakshan jaise dard, sujan, inflammation aur infection se rahat pardaan karvata hai. Ise cotton ki help se apne keel muhase par lagaiye aur 15 minutes baad dho lijiye.

Yadi aapke poore face par acne hai to aap is tel ke kuch drops aloe vera gel mein milkar aapne chehre par face pack ki tarah laga lijiye. Ise aadhe ghante baad dho lijiye. Rojana karne se aapki problem ka solution ho jayega aur aapki twacha nikhregi.

Tooth Paste se Muhase ka Upchar

Toth paste use karna bhi ek acha gharelu upay mana jata hai. Lekin iske liye hamesha white toothpaste hi use karni hai.  Raat ko sone se pehle toothpaste ko apne muhase par lagakar chod dijiye. Subhe uth kar dhone se aapko dard aur sujan se kafi aaram milega. Extra benefit ke liye aap din mein bhi ek baar iska pryog kar sakte hein.

Steam Treatment for Acne

Steam treatment bhi pimple door karne ka ek aasan gharelu tarika hai. Bhap ka temperature aapke skin ke pores ko khol deta hai jisse usmein fasi hui gandgi bahar nikal jati hai falsavroop aapke keel muhase door hone lagte hein. Aap kisi bartan mein pani boil kariye. Aur ise aur asardaar banane ke liye is ublte pani mein neem, tulsi aur tea tree oil ki kuch drops daal dijiye. Aur agar ye cheezein nahi ho to bhi chalega. Aap apne head ko kisi kapde se dhak lijiye aur apne face ko us bartan ke oopar uchit doori par kuch minutes ke liye rakhiye. Aisa week mein 2-3 baar ka lena theek rehta hai.

Lehsun Se Upchar

Anti septic, anti fungal aur infection fighting properties se bharpoor lehsun aapki pimple problem ko jaldi heal karke usse thik karne mein kafi help kar sakta hai. Ise rojana kha kar bhi aap andar se aapni skin ko problem free rakh sakte hein. Iski paste ko acne par laga kar 10 minutes tak rakhiye fir dho lijiye. Aisa rojana kuch dino ke liye kariye.

Baking Soda

Meetha soda ya baking soda ek aur effective remedy hai jo ki aapki problem ko hatane mein aapki madad kar sakti hai. Ise baking soda mein pani ya lemon juice milakar paste banaiye. Is paste ko apne pimples  par kuch minutes par lagakar rakhiye. Ise thande pani se dho lijiye. Din mein aisa do baar karne se aapki problem jaldi solve ho jayegi.

Haldi, Chandan aur Gulab Jal Paste

Haldi infection door karta hai, inflammation kam karta hai wahi gulab jal skin ko tone aur cool karta hai. Chandan aapki twacha ko thandak deta hai saath hi dard sur sujan mein aaram dilate hai. Aap haldi aur chandan ke powder ko aapas mein milaiye. Isme gulab jal daalkar paste bana lijiye. Is paste ko face mask kit rah apne chehre ya doosre pimples wali jahag par lagaiye. Sukhne ke baad dho lijiye. Ye muhase door hi nahi karta balki rang gora kar pimples marks aur spots ko bhi hatata hai.

Kaccha Papita

Raw papaya yani kacche papita mein  vitamin A hota hai jo ki aksar anti-pimples creams aur lotion ka mukhya ghatak hota hai. Is vitamin A ke karan kache papaya ki paste mein kuch boonde lemon juice ki milakar apni skin par lagane se aapki problem jaldi theek ho jati hai.

 Haldi Doodh Face Mask for Pimples

Haldi ke 2 spoons mein ek spoon honey aur 2 spoons kacha doodh milakar ek paste taiyaar kar lijiye. Is paste ko apne saaf chehre par 20 minutes tak laga kar rakhne ke baad thande pani se dho lijiye. Ye ek effective anti acne facial mask hai. Iska regular use aapki problem ko control mein rakhta hai aur aapki skin ko clear aur clean rakhne mein help karta hai.

Multani Mitti

Mulatni mitti ke powder, lemon juice, thodi si haldi , thoda sa gulab jal, aur ho sake to kheere aur tamatar ka juice milakar ek ubtan tayiaar kar lein. Ise apne face par tab tak lagkar rakhiye jab tak ye such na jaye. Fir dho lijiye. Ye aapke skin se oils aur doosre gande padarth ko hata dega. Ye oil skin walo ke liye ek acha upay hai. hafte mein ek do baar aisa karne se aapki skin pimple free rehti hai saath mein purane daag bhi mit jate hein.

Jaifal/Jaiphal Se Muhase ka Gharelu Ilaj

Jaiphal jise hum English mein nutmeg bhi kehte hein ek bahut hi effective pimple door karne ka tarika ho sakta hai. Iske powder mein pani ya cow ka kaccha doodh milkar pimple par lagaiye. 10 minutes ke baad is dho lijiye. Aise daily karne se aapki problem dolve ho jayegi.

Egg White Face Mask

Egg white ke poshak tatv aur protein, pimples dwara aapke skin ko hue nukasaan ko theek karte hein. Saath hi ye aapki skin ko clean aur clear rakhne mein bhi help karte hein. Bas 2 egg white lekar apne face par lagaiye. Sookhne ke baad pani se doo lijiye. Ye aapke skin ko tight aur young bhi rakhega.

Additional Remedies in Hindi| Kuch Aur Gharlu Nuskhe aur Upay

  1. Plain aspirin tablets ke power banakar usmein pani milakar miples par sone se pehle lagne se aapke muhase jald gayab ho jate hein.
  2. Kele ke chilke ka safed hissa apne face par malne se acne door hota hai.
  3. Aaloo ke paste ko aadha ghanta chehre ke dane par lagane par wo jaldi heal ho jate hein. Is pasteko face parlagane se purane daag dhabbe bhi door ho jate hein aur rang gora ho jata hai.
  4. Tamatar ki paste ko chehre par lagane se bhi muhase door hote hein.
  5. Green tea pine aur apni skin par lagane se bhi labh milta hai.
  6. Seb ke sirke mein Barabar matra mein nimbu ka ras mila dijiye.  Is pimple solution ko apne mushase par din mein 3-4 baar lagane se bhi labh hoga.
  7. Bhige hue chawal ki nimbu k eras ke saath paste banakar. Ise face mask for pimples ki tarah use karein. 20 minutes face par lagan eke baad dho dalein. Isse muhase saaf honege aur aapka rang bhi gora hoga.
  8. Kheere ka juice peene se aur apni skin par lagane se bhi pimples problem se chutkara milta hai.
  9. Jaitun , sarson aur til ke tel ki malish se bhi aapki skin pimple free rehti hai.
  10. Neem ki ped ki chal ko ghis kar isme pani milakar lep karne se bhi keel muhase door hote hein.
  11. Adhrak ki paste lagne se bhi keel muhase se nijat milti hai.
  12. Laung ke powder ko doodh ke saath milkar muhase par lagane se wo jaldi theek ho jata hai.
  13. Pudine ke ras ko acne par lagne se wo jaldi heal ho jata hai saath hi is remedy se dard mein bhi aaram milta hai.
  14. Ek teaspoon jeera, tulsi patta aur neem patta ka milkar apne keel muhase par lagiaye. 20 minutes baad dho lijiye.

Herbal aur Ayurvedic Upchar | Herbs to Remove Pimple Problem in Hindi

  1. Arjuna ki chaal ke powder ko honey mein milakar lagane se aapki twacha acne free ho jati hai.
  2. Cotton flower ki paste lagane se bhi muhase mit jate hein
  3. Indrayan ya bitter apple ki root ka juice lagane par bhi faida hota hai.
  4. Dhaniya ki leaves ke paste ko apni skin par lagaiye. Labh milega.
  5. Ek genda ka phool (marigold) lijiye aur use ek cup pani ke saath tab tak boil kariye jab tak pani aadha na reh jaye. Is pani ko chan kar din mein kayi baar apne pimples par lagaiye. Ye pain aur imflammation door karega.
  6. Arandi aur safede ka tel muhase par lagane se wo jaldi hat jata hai.
  7. 10 paan ke patte lijiye aur inhe 2 cups pani ke saath ek ghante ke liye boil kariye. Is solution se apni skin ko baar baar saaf karne se pimples jaldi remove ho jate hein.
  8. Nirgundi (chaste berry) ke leaves ki paste ko keel muhason par lagane se wo jaldi mit jate hein.
  9. Santre ke chilke ke powder mein gulab jal milakar apne face par lagaiye. Aur kuch der baad dho lijiye. Aisa roj karne par aapki pimple ki samasaya door hogi.
  10. Pyaz aur honey ka mixture skin par lagane se bhi kafi labh hota hai.
  11. Aam ka gudda twacha par kuch der lagane se bhi muhase gayab hote hein.
  12. Sehjan ke patte ka juice aur lemon juice milkar chahra dhone se bhi fayda milta hai.

Diet Tips for Pimples in Hindi | Muhase hone par kya khaein? | Acne Diet

How to remove pimples in hindi ke gharelu upchar ke saath saath aapko apni diet par bhi dheyan dena hoga kyonki sahi khan paan na hone se bhi acne ki samasaya jayada hoti hai. Neeche kuch diet tips diye gaye hein jinhe aapko follow karna hai.

Apne diet plan mein fiber yukt foods shamil kariye. Ye aapke pet ko saaf rakhte hein aur kabj ko hone se rokte hein. Isse apka khon saf rehta hai aur aapko acne ki problem nahi hoti.

Oily foods, spicy food, dairy products, high fat diet aur chocolates ka waiseto pimples ke saath koi rishta nahi hai lekin aise foods khakar aap aapne blood sugar levels aur hormones ke level ko bigaad lete hein falsavroop aapko keel mushase hone lagte hein. Isliye inhe avoid kariye.

Dehydration bhi keel muhase ke liye jime daar hoti hai. Isliye rojana 2-3 liter pani aur doosre healthy fluids jaise coconut water, aur juices peeni ki koshish karein. Paani aapki body heat kam karne ke saath saath aapke sharre se toxins bhi bahar nikaal deta hai. shareer ki garmi aur toxins dono is is skin problem ke liye jimedaar hote hein.

Fish, akhrot, badam, alsi ka tel, olive oil bharoop matra mein khaiye inse aapko skin ko healthy rakhne wala omega-2 fatty acids milte hein.

Vitamin A, C aur E yukt furits aur vegetables jaise apple, banana, grapes, broccoli, spinach (palak), sarso, strawberries, cherries, orange aur hari patte daar sabjiyan khoob khaiye. Saath hi vitamin b6, zinc, chromium, selenium yukt cheezein bhi apni anti-acne diet list mein shamil kariye. Inke liye aap supplements bhu le sakte hein.

Jayada namak yukt bojan aur preservatives mili hui cheezon se door raheiye.

Jayada sugar yukt food khane se bhi problem ho sakti hai.

Alcohol ke sevan ko kariye band.

Coffee aur chai ki jagah rojana din mein 3-4 baar green tea peejiye.

Pimples se Kaise Kare Bachav | Pimples Prevention Tips in Hindi | Muhase se bachne ke upay

  • Pet mein kabhi bhi kabj na hone dein. Aur jaisa ki humne oopar bataya ki aisa aap fiber rich diet khakar aur dher sara pani peekar kar sakte hein.
  • Ek acha skin care routine banaiye jisme cleansing, exfoliation aur moisturizing ke steps ho.
  • Apne pillow covers ko daily change karte rahiye.
  • Haath hamesha saaf rakhiye aur kabhi bhi gande haat apne face par mat lagaiye khas kar jab aapko acne ho. Isse infection failta hai.
  • Apne face ko din mein 3-4 baar dhokar use hamesha neat aur clean rakhiye. Aap dhone ke liye kisi ache anti bacterial face wash ka bhi use kar sakte hein.
  • Kabhi bhi pimples ko fodiye ya ukhadein nahi. Isse infection badhta hai aur marks, spots aur daag dhabbe bhi ho jate hein jinhe hum pimples marks ya acne scars ke naam se jante hein.
  • Apne face ko hamesha saafkappde se saaf kariye ganda towel ya kapda aapki problem aur badha sakta hai.
  • Hamesha  non-comedogenic makeup and skin care products hi use karein.
  • Unhealthy foods khane se parhej karein.
  • Raat ko sone se pehle aapna makeup utarna na bhoolein.
  • Apne nakhoon hamesha short aur saaf rakhiye.
  • Kisi doosre ko personal cheezein jaise towel, skin care products mat use karein. Isse infection failne ka khatra rehta hai.
  • Rojana exercise karke aapne weight aur body ko fit rakhiye.
  • Yoga aur meditation karke apna stress kam karne ki koshish kariye.

Ye the kuch best pimple removal aur treatment tips in hindi. In gharelu tips aur ilaj ke upay ko aap use kariye aur apni problem ko khaiye bye. Lekin yadi aapki skin sensitive hai to ye gharelu upchar use karne se pehle apne  dermatologist ki expert advice jaroor le lein. Charm rog specialist yanii dermatologish aapko sahi upchar aur salah dega.

Yadi aapko acne home remedies in Hindi ya doosre gharelu tips ke bare mein adhik jaankari chahiye to humein contact karein.

लोगों की इतनी help की लेकिन हमारी नयी वेबसाइट like नहीं की अभी तक 😥

Hello! I'm Suven, a Computer Engineer, Naturopathic Doctor, Certified Nutritionist, and adept Astrologer. My passion for holistic well-being and celestial insights drives my diverse expertise. I weave together technology and ancient wisdom to explore health, lifestyle, and astrology in my writing. Join me on a journey to balance and fulfillment, where science, nature, and the cosmos harmonize for optimal well-being. Feel free to connect; let's explore this enlightening path together!

Leave a Comment

Don`t copy text!