Bai aur Dai Aankh phadakna karan aur upchar – Kya kehta hai aankh ka phadakna good ya bad?

Aankh phadakna jiska English me meaning Eye twitching hota hai  ek bahut hi sadharan eye related problem hai jo ki kisi ko bhi kisi bhi umar me aur kabhi bhi ho sakti hai. Aksar aankh fadakne ko hamri duniya ke log shubh ya ashubh ke saath jodkar dekhte hai. Jaha bai ankh phadkana ko Chinese log acha mante hein to Indian log is ashubh (bad) mante hein. Wahi dai ankh ka phadakana china me bura sanket mana jata hai  to hamare bharat me ek shubh sanket.  Isi prakar yadi aap Indian lady hein to aapke left eye ka fadakna shubh aur right ka ashubh mana jayega. Aaiye pehle thoda duniya me aaankh fadakne ko lekar kya kya kaha jata hai us par ek nazar daal lein.

aankh padhakna

Aankh phadakna- good or bad? Janiye hindi me

CHINA ke log

China ke logo ke anusar bai ankh phardkna ache luch aura chi khabar ko darshata hai.

Wahi dai aankh ka phadakna  bura samay aur bad luck lata hai.

Ladies ke liye iska just ulta hota hai.

China me lower eyelid ke fadkna  rone ka sanket mana jata hai. to wahi kuch log eye twitching kis samay ho rahi hai us samay ke aadhar par ise jodkar dekhte hein.

INDIA me

India me purush (male) ki bai aankh ka phadakna  bad luck, aur bad news ka sanket mana jata hai .

Wahi right eye fadkne ko acha luck, achi khabar, success aur dhan ke agman ka sanket mana jata hai.

Yaha bhi yadi aap aurat (female) hein to right aapke liye ashubh hai aur bai shubh.

Yaha aur bhi manytayein judi hein jaise bai eyebrow phadke to achi khabar ya child birth ki khush khabri aayegi aur yadi pupil fadke to good luck aayega. Ii tarah left under eye twitching ko kharche ka sanket samjha jata hai.

Nigeria me

Nigerians log Indian logo ki tarah hi mante hein

African log

Aankh ka nichla hissa jab fadakta hai tab use- jaldi hi rone ka sanket samjha jata hai

Aankh ka oopri hissa fadke to use kisi ke aane ka sanket mana jata hai.

Hawaii me

Left aankha ka phdakna – koi mehmaan aane wala hai

Yadi bai aankh lagatar phadke to Hawaii me isse pariwar me kisi ke mrityu hone ke saath jodkar dekha jata hai.

Wahi right eye twitching ko ghar me bacha hone ke saath jodkar dekha jata hai.

Eyes chahe left (bai) ho ya right (dai) sanket ya news chahe( good or bad) achi ho ya buri. Lekin medical science inhe nahi manti kyonki aankh ka phadakna kisi medical problem hone ki taraf ishara karta hai. In eye twitching ka reason common se lekar serious bhi ho sakta hai isliye vaham ko chod kar apni health ke liye jagrook banein kyonki ye choti si lagne wali problem aage chalkar badi bhi ban sakti hai.

Aankh ka phadakna kya hai? | What is Eye Twitching in Hindi

Ankh ka fadakna apki eyes ki muscles me hone wali ek involuntary movement (anaichchhik gati) ya spasm (ainthan) hai. Ye kuch seconds se lekar kayi dino tak ho sakti hein. Yadi aapki aankh lagatar padhak rahi hai to aapko apne doctor se turant milna chahiye kyonki continous twitching ko nazarandaj karne se kabhi kabhi aapke serious problem jaise aankh na Khulna aadi jhelna pad sakta hai. Neeche aankh phadkna ke kuch medical reasons diye gaye hein.

Causes of Eye Twitching Hindi me | aankh fadakna ke karan

  • Light se sensitivity hona
  • Aankhon ki dryness
  • Neend ki kami
  • Conjunctivitis
  • Allergy
  • Stress, chinta aur thakavat
  • Air pollution
  • Sharab aur coffee ka jayda sevan karna
  • Magnesium ki shareer me kami hona
  • Dekhne sambandhi koi problem hona (vision problem)
  • Cornea ya eyelid me inflammation hona

Inke alawa lambe samay tak eye ka phadakna Benign essential blepharospasm ka sanket ho sakta hai jisme aapki ek ya dono eyes ki muscles lambe samay tak padhakti rehti hein. Iska ilaj na kiya jaye to aankhon ki roshini jane tak ki naubat aa sakti hai.

Inke alawa bahut hi rare case mein Parkinson rog, hemifacial spasm aur kuch medicines ke use ke karan bhi eye twitching ho sakti hai. Sahi karan ka pata to aap kisi eye specialist se milkar hi laga sakte hein.

Kab hai doctor se milna jaroori ?

Jaisa ki hamne pehle bataya ki yadi aap lagatar aankh phadakna se pareshan hai to apne doctor se mile inke alawa yadi aapko eye kholne me problem ho rahi hai, aankhon me sujan hai, eye lid utha nahi paa rahe ya aapke face me ainthan ho rahi hai to in cases me doctor ki visit nishchit honi chahiye.

Aankh phadakne ka Upchar | Gharelu upay | Treatment of eye twitching in Hindi

  1. Jayadatar cases me aankh fadakna  bina kisi treatment ke apne aap theek ho jata hai. Aaram ke liye aap halka sek aur massage jaise upay kar sakte hein. Yaha causes ke aadhar par kuch treatment tips diye gaye hein jinheaap follow karke apni problem se rahat pa sakte hein.
  2. Yadi aapki aankhon me khushki hai to use aap eye drop jaise artificial tear drops daalkar door kar sakte hein. Ye tears drops unke liye upyukt hai jo log ghanto tv aur computer kea age bethe rehte hein.
  3. Yaadi aapki pareshani ka karan light sensitivity hai to aap uske liye ek achi quality ka sun glass pehen kar sun aur doori tej lights se bachav kar sakte hein.
  4. Jo log raat ko nahi sote unhe paryapt neend lene chahiye. Neend ki kami bhi eye twitching ka ek bada karan mani jati hai isliye ho sake to raat mein 6-8 hours ki achi neend lein.
  5. Allergy jayadatar mamlo mein aankh phadakne ke liye jimedaar hoti hai aur is case me aapko anti-histamine syrup, tablet ya capsule apne doctor se pooch kar lena hoga.
  6. Stress, mansik chinta aur depression wale logo ko yoga, meditation, exercise, music, reading ya kisi hobby me apne aap ko lagakar stress free rehne ki koshish karni hogi. Yadi fir bhi aapki stress door na ho to doctor se unke liye dawa lena hi samajhdari hai.
  7. Yadi aapki problem jayda sharab ke sevan ya coffee peen eke karan hai to use low ya no keh dena hi sabse acha upchar hoga.
  8. Nazar ka kam hona ya koi vision problem hone ke karan yadi aank fadak rahi hai to aapki sahi najar ka chasma pehnna hoga.
  9. Benign essential blepharospasm ko botox injection dwara theek kiya jata hai. Sahi upchar ke liye aapko apne doctor ki salah leni hogi kyonki kuch cases me surgery jise Myectomy kehte hein ki jarurat bhi pad sakti hai.

Aankh ka padahkna yadi in sabhi treatments se theek na ho tab aapke doctor ko surgery karke twitching ke liye jimedaar nerve ko nikalna padta hai aur kabhi kabhi spastic muscle ko bhinikalna padta hai. kisi vaham me padkar apni problem ko andekha kar dene se aage nuksan ho sakta hai isliye jinta jaldi ho problem ke sahi karan ka pata lagakar uska ilaj karva lene me hi bhalai hoti hai.

लोगों की इतनी help की लेकिन हमारी नयी वेबसाइट like नहीं की अभी तक 😥

Hello! I'm Suven, a Computer Engineer, Naturopathic Doctor, Certified Nutritionist, and adept Astrologer. My passion for holistic well-being and celestial insights drives my diverse expertise. I weave together technology and ancient wisdom to explore health, lifestyle, and astrology in my writing. Join me on a journey to balance and fulfillment, where science, nature, and the cosmos harmonize for optimal well-being. Feel free to connect; let's explore this enlightening path together!

19 thoughts on “Bai aur Dai Aankh phadakna karan aur upchar – Kya kehta hai aankh ka phadakna good ya bad?”

  1. Sir meri right eye ki uper ki palak near about three month se twitching kar rahi hai
    Aisi problem pichle saal bji hui thi but ofter 2months sahi ho gayi thi
    But abki baar theek nahi ho rahi hai
    Hm government hospital gaye to docter ne kaha ye natural hai
    Mujhe bahut problem ho rahi hai
    I am also suffered with CV

    • Dekhiye ram gopal ji lagta hai aapko allergy ki problem hai yadi hai to aapko sahi anti allergy medicine ki jarurat hai…..eye twiching kayi reasons se ho sakti hai lekin lambe samay tak chalna sahi nahi hai aap bp ki jaanch bhi karvayein aur ho sake to kisi acche private hospital mein jaanch karvayein,,,3 mahine tak lagataar chalna normal nahi hai,,,lekin aap ghabriye nahi kyonki ki choti problem jaise allergy, alcohol, bp kayi karan ho sakte hain jo ki aapka doctor aapse consult karne ke baad bata dega
      thanks for your visit:)

    • ramanand ji aapki problem alcohol se allergy hai …….ye ham is liye keh sakte hain kyonki hamare kayi users ke saath aisa hua hai ….isliye limit me kariye…..aur jarda khate hain to usse bhi kam kar dijiye …accha hoga ki aap chor dein

  2. Sir meri bhi daai aankh ka upri hissa pichle 3-4 dino se phdk rha hai aur mai kisi bhi prakar ke padarthon ka sevn nhi krta
    Bt mujhe ghr se thoda problm hai

  3. Sir meri left eye ka upri hissa 4 months Sai lagatar fadak rahi hai Aur Mai Kisi bhi Praka ke padarthon ka sevn nahi karta bt mujhe ghr se thoda problm hai koi solution bato

Leave a Comment

Don`t copy text!