Garbhpat ke Upay – Anchahe Garbh se Mukti pane ki Vidhi?

Achi tarah se plan ki hui pregnancy pati patni ki jholi khushiyon se bhar deti hai wahi unplanned garb  un couples ke liye bahut badi problem ki baat hoti hai joy a to family planning kar rahe ho ya pyar me apni limits bhool kar galti kar bethe ho ya fir jinho ne pregnancy rokne ke sabhi tarike apnaye ho fir bhi anchaha garb teher gaya ho. Is unchahe garbh se chutkara ya mukti pane ke liye couples kayi parkar ke gharelu tarike apnate hein. Lekin kayi baar ye sabhi gharelu upay fail ho jate hein aur us case me unke paas doctor hi ek matra vikalp bachta hai.

anchaha garbh

Aksar aapko pregnant hone ka shak tab hota hai jab aapka period ruk jata hai aur ye baat aapko aur aapke partner ko gehri chinta me daal deti hai. Yadi aapka period ruka hai aur aapko lagta hai ki aapke garb ko tehre hue ek mahina ya ek mah se jayda ka samay hogaya hai to hum aapko bata dein ki 7 weeks yani 2 mahine se kuch kam ke garb ko aap abortion pills lekar ya doctor se milkar surgery ke dwara gira sakte hein.

Waise garbhpat karane ke kayi karan ho sakte hein jaise unwanted pregnancy hona, sabhi contarseptive methods fail ho gaye hon, bache me defects ho, aapki body bache ke liye tayiyaar na ho, pyar me galti ho gayi ho aur abortion karna jaroori ho. Kher garbhpat ka sochne wale har couples ki apni problem hoti hai. Hum aapko garbhpat ke do vishesh upay ya vidhiyan batayenge ek to goli ya dawa ke dwara aur dusra surgery dwara.

I mahine baad aur 2 mah se kam unchahe garbh ke garbhpat ki vidhi – Garbhpat ki goli ya dawa | Abortion Pill Method

Dr. sangeeta  agrawal jo ki Mumbai ki ek jani mani gyane expert hein kehti hein ki aajkal ladkiyan bahut hi jaldi garb rukne ka pata lag leti hein kyonki home pregnancy test kits har koi medical ki dukaan se lekar period runkne ya late hone ki condition me use kar sakta hai. Wo ye bhi batati hein ki aajkal goli ya dawa ke dwara garbhpat bahut hi easy aur safe task ban gaya hai aur ladki ko sirf medical help ki jarurat hoti hai  aur unhe kisi parkar ke koi hospital me admission ya anesthesia jaisi problems ka samna nahi karna padta.

Yadi aapka garb 7 weeks se kam ka hai to aap use garbhpat ki goli lekar apne ghar me hi gira sakte hein. Wo kehti hein ki aapko do goliyan leni hoti lekin alag alag samay par.

Pehli goli mifepristone – jo ki aapke progesterone hormone ko kam karke aapke garbhashaya ki walls ko patla kar deti hein aur garbh uterus se alag ho jata hai.

Doosri goli misoprostol – jo ki pehli goli ke 48 ghante baad li jati hai aur ye uterus me carmps shuru karva kar bleeding dwara garbh ko bahar kar aapka garbhashaya khali kar deti hai aur aapko unchahe unwanted garbh se mukti  ya chutkara mil jata hai.

Ye kafi easy, safe aur effective method hota hai. lekin dhayan rahe ki isme bleeding 10 se 13 din tak chal sakti hai. kuch mahilaon me do halki fulki bleeding ke spots do kuch weeks tak aate rehte hein. Is process ke baad jaruri hai ki aap apne doctor se milkar sonography se ye ensure kar lein ki garb poori tarah se bahar nikal gaya hai ya nahi.

Normal period dobara kab shuru ho jaynge?

Ghabrane ki jarurat nahi kyonki 4-5 weeks me aam taur par period dobara shuru ho jate hein.

Goli ke dwara garbhpat ke Side effects kya hote hein?

Jab aap garbhpat ke liye doctor ki di hui ye do goliyan use karti hein to aapko heavy bleeding, ulti, dast (loose motion), chakkar aana,sar ard, pet me dard aur marod uthna is goli ke kuch nuksan ya side effects hein. In case, yadi aapki bleeding bahut jayda hai aur aapko bhukhar hai to turant apne doctor se milna chahiye.

Garbhpat ki goli ke baad kya baat jaroori hai?

Waise to goli dwara garbhpat ki success rate kafi high hai (97 percent) lekin yadi fir bhi aapka pregnancy result positive aaye to kabhi bhi aapko pregnancy aage nahi badhani kyonki aapke dwara li gayi dawa se bache ko kafi nuksaan ho jata hai aur aisi pregnancy me bacha defects ke saath paida hota hai. To is case me aapko doctor ke paas jakar surgery dwara abortion karvana hota hai.

Kya hai garbhpat ka surgical upay?

Aam taur par surgery methods do parkar ke hote hein aur dono parkar ke methods me vacuum ka upyoog kar suction dwara uterus ko khali kar diya jata hai. Ye jayada lamba process nahi hota bas kuch hi minutes me doctor abortion ki vidhi poori kar deta hai. Is vidhi ke success rate 99 percent hote hein.

Abortion pill (goli) kinhe nahi leni chahiye?

Ye ek acha sawal hai aur iska answer hai ki yadi aap 7 weeks se jayada ki pregnant hein to aapko ye goli nahi leni chahiye. Saath ye goli aderenal gland, anemia, heart, liver aur kidney problems walo ko nahi leni chahiye. Saath hi yadi aapko koi blood clotting problem hai to ye dawa wali vidhi aapke liye upyukt nahi hai. Jayada jaankari ke liye apne doctor se sampark karein.

Ye kabhi na karein

Yadi aapne goli wali vidhi apnai hai to us dauran sambhog kabhi na karein saath hi uske baad yadi aapne safety na use ki to aap fir se pregnant ho jayengi.

Kaise karein Recovery?

Aap jante hein ki dawa wali vidhi se kafi khoon beh jata hai iske liye jaroori ho jata hai ki aap neeche diye gaye kuch tips use karke apni body ko recover hone me madad karein.

  • Khoob pani peejiye aur apne aapko dehydration se bachayein.
  • Doctor ke dwara bataye gaye vitamins jaroor lein.
  • Khoob rest karein.
  • Garbhpat ke 15 din baad tak koi bhi exercise na karein.
  • Stress ya mansik tanav se door rahein.
  • Achi aur healthy diet khaein.

Aapne kya kiya ye sochkar udaas, chinta me ya guilty mehsoos na kare. Ye ek normal kriya hai jo lakhon logo ko karvani padti hai. Isliye ise lightly lijiye aur apni normal life khul ke jiyein.

Garbhpat ke upay aur vidhi jo hamne oopar bateye hein sabse safe, effective aur aasan tarike hein. Inke baar mein aap apne doctor se milkar pooch sakte hein kyonki aapka doctor hi decide karega ki aapke liye konsi vidhi jayda suitable hogi. Gharelu upay aur nuskhe ke dwara self treatmet ki chakkar me na padein usse  nuksaan ho sakta hai.

Note: Ye jaankari kewal aapki information badhakar garbhpat ke upay aur vidhi ke bare mein aapko jagruk karne ke liye thi. Ise padhkar yadi aap apne khud ka self treatment karte hein to aapko nuksan ho sakta hai aur jiske liye hindi look up team ki koi jimedaari nahi hogi. Sahi treatment ki jankari aur ilaj aap apne doctor se milkar hi paa sakte hein.

Regards

Hindilookup.in team

लोगों की इतनी help की लेकिन हमारी नयी वेबसाइट like नहीं की अभी तक 😥

Hello! I'm Suven, a Computer Engineer, Naturopathic Doctor, Certified Nutritionist, and adept Astrologer. My passion for holistic well-being and celestial insights drives my diverse expertise. I weave together technology and ancient wisdom to explore health, lifestyle, and astrology in my writing. Join me on a journey to balance and fulfillment, where science, nature, and the cosmos harmonize for optimal well-being. Feel free to connect; let's explore this enlightening path together!

25 thoughts on “Garbhpat ke Upay – Anchahe Garbh se Mukti pane ki Vidhi?”

  1. Helo mem mujhe ek information chahiye
    Mem meri bibi 45ya 50 day se mc ruk. Gai Hai or maine isi time pr use garbhapat ki dawa khila di
    Jis me prega news me negative jada yevam pogativ kam Hai uske liye kya kre plz help me
    Or dava dene pr 10 day building chali

    • Plz mem meri help kre kyoki ek ladki abhi 5 month ki hai so is liye a sb krna pada
      garbhapat ki dava dine ke bd 8 se 10 day bileding chali hai
      Or usme ek gilsi tips ki nikli or whait color ki politic bhi nikli
      Gehra biled bhi Uske bd
      Maine 8 day ke bd prega news se check kiya to
      Usme me 1red line jada the or 2 line todi red show kr rahi thi
      Ab kya result h
      Plz information

  2. Mam meri girlfriend ke sath 12sep ko sex kiya tha uske baad uska period 24sep ko aaya uske baad se hmne relationship nhi bnaya pr abhi uska period 24sep ke baad dobara nhi aaya kya vah pregnent ho skti hai plz help me

    • iske liye aapko doctor se sampark karna hoga…waise india mein itna late garbhpat nahi kiya jaata…aap doctor se hi iske baare mein consult karein…aur jab aapko baccha nahi chahiye tha to 7 mahine tak aapne use garbh mein rakha??? samajh nahi aaya hamein

  3. Mam..ak baat puchni hai….mam meri wife ka 5 month ka bacha hai…pr wo pregnant ho gai hai…to meine dwa khilai hai..pr 5% bleeding hui hai….bleeding kb hogi…..bacha abhi andr hai….plz ans do….

Leave a Comment

Don`t copy text!