Kya aap family planning karne ke bare me mann bana chuke hein? ya aap unwanted pregnancy yani unchahe garbh ko door rakhne ke bare me soch rahe hein? Karan koi bhi ho aajkal pregnancy se bachne ke liye kayi sare methods uplabdh hein aur inme se sabse aasaan, safe aur kargar method hai garb nirodhak pills lena. Ye pills kayi parkar ki hoti hein kuch jaldi work karti hein to kuch late lekin in sabhi ka purpose ek hi hota hai aur wo hai unchaha garbh rokna. Is article me hum aapko garbh nirodhak golion ke karya ke bare mein bataegne.
Kaise karti hein birth control pills karya?
Garb nirodhak goli ko pregnany rokne ka sabse saral aur asardaar upay mana jata hai. Waise to aapka partner condom use karke bhi unwanted pregnancy hone ke chance ko kam ya khatam kar sakta hai lekin kabhi kabhar :galti ho jati hai chahe wo condom ke fatne ki ho ya fir pyar me beh jane ki. Galti ho jana aage ki life par bhari na pade iske liye aap birth control pills le sakti hein. Ye pills lene se egg aur sperm ka fertilization to hota hai lekin fertilized egg aapke uterus me implant nahi ho pata jiske falsavroop aapko pregnant hone ke daar se mukti milti hai.
Garb nirodhak goli kaise kaam karti hai?
Hamare shareer me hamri glands dwara hormones nikalte hein jo ki hamare shareer mein kayi sare functions poore karne ke liye jaroori hote hein. Inme se hi ek function hein ovary se ande ka release hona (ovulation ke samay) aur ye release hua egg sperm se fertilize hokar aapke uterus ki diwara par implant ho jata hai.
Lekin in garb nirodhak pills me artificial hormons hote hein jo ki aapke janan tantra ko confuse karke implantation ki kriya ko rokte hein. In pills me estrogen aur progestin (jo ki aksar combination pills me paye jate hein). Kuch pill me progestin hi hota hai lekin jayadatar mahilayein combination goli hi lena behtar samajhti hein.
In golion me mojood hormones aapke ovaries ko egg release karne se rokti hein jisse sperm ko koi egg nahi mil pata aur pregnancy hone ka khatra poori tarah se ruk jata hai.
Ye hormones lene wali mahila ki cervix ki mucos ko gadha bana dete hein jisse sperm egg ko fertilize nahi kar pata.
Yadi fertilization ho bhi jaye to use case me ye artificial hormones aapke uterus ki lining ko patla karke implant hone ki kriya ko poori tarah se vifal (fail) kar dete hein jisse fertilized egg implant nahi ho pata.
Combination type pills ko rojana lene se ye sab karya ho pate hein. Isliye aap apne doctor ki salah se inhe lena shuru kar dein kyonki pregnancy ko rokna tabhi sambhav ho pata hai jab aap inhe regular lein. Saath hi aisa karne se aapki body mein in hormons ka sahi level bhi bana rehta hai aur garb therne ke chances bilkul khatam ho jate hein.
Birth control pills kab apna kayra karna shuru karti hein?
Chunki ye hormonal medicines hein isliye aapki body ko inhe pehchan ne me thoda samay lagta hai isliye inhe ek hafta lene ke baad hi inke effect ke bare mein socha ja sakta hai.
Inhe family planning ke samay regular lena hota hai. Isliye apne doctor se pooch lein saath hi inse side effects ke bare mein bhi sahi jaankari le lein to acha hoga. Kyonki aapko pata hona chahiye ki inhe khane se future me aapko kya pareshani ho sakti hai.
Garbh rokne ka doosra tarika hota hai emergency pills ya emergency contraceptives (EC) lena jinhe asurakshit sambhog karne ke 72 se 120 ghante ke andar lena hota hai. Ye pills bhi usi tarah se karya karti hein lekin inme artificial hormones ki matra adhik hoti hai aur ye apne quick action se pregnancy ki sambhavna ko poori tarah se daba deti hein. Ye pregnancy ko rokne ka acha upay nahi hai kyonki in pills ke aapke menstrual cycle par side effects hone ki pooori sambhavana hoti hai.
Birth control pills aur emergency contraceptices lambe samay tak use karne se aapki body ka natural hormonal balance karab ho sakta hai jo ki aapke janan tantra ki health ko parbhavit kar sakta hai. Isliye behtar yahi hoga ki aap apne gynecologist ki salah ke baad hi inhe lene ka decision lein.