Fode Funsi Ka Desi Gharelu Ilaj – Baltod ka Home Treatment Hindi me

Fode funsi ko baltod bhi kaha jata hai aur English mein ise boils ke naam se bhi jana jata hai. Fode funsi ya baltod hona ek common problem hai jo ki kisi bhi umar ke vayakti ko kabhi bhi ho sakti hai. Aksar Boils ka karan hota hai baal ka tootna. Ise bal ke tootne ki jagah par kasar bacteria infection kar dete hein aur is jagah par pus padne lagti hai. Pehle ye choti funsi ke roop mein hota hai fir dheere dheere ismein pus badhta hai aur iska aakar bade fode ka roop le leta hai. Ye baltod aksar bagal (armpit), thighs (jangh), kulhe (hips), peeth (back), tango ke beech (inner thighs),  haath aur face par jayada dekne ko milta hai.

fode funsi

Kaise Banta hai choti funsi se bada foda?

Hamari twacha par bacteria paya jata hai. Ye bacteria bal ke tootne ke karan ya hamare skin ki pasine ki glands ke dwara hamari skin ki andar wali layer tak chala jata hai. Aur jab aisa hota hai to hamari body ka pratirodhak tantra sakriya  (active) ho kar us jagah par infection se ladne wale white blood cells ko bhejta hai. Jo pus aap fode mein dekhte hein wo aksar yahi white blood cells, bacteria aur mari hui twacha ki cells hoti hein.

Fode Phunsi hone ke Karan | Kin karno se Hota hai ye Phoda aur Phunsi

  • Aapka khoon saaf na hone ke karan
  • Spicy ya oily foods khane se
  • Pet mein kabj rehne se
  • Diabetes hona
  • Shareer mein garmi hone ke karan
  • Shareer ki saaf safai na rakhne se
  • Dushit pani mein sanan karne se
  • Poshan ki kami hone ke karan
  • Unhealthy lifestyle hone se
  • Weak immune system ka hona
  • Pollution ya kisi chemical ke sampark mein aane se
  • Jayada bethne se aksar kulho par fode ki shikayat jayada hoti hai
  • Tight kapde pehn ne se baltod jayada hota hai ur us jagah par infection hokar foda ban jata hai
  • Funsi ko gande hatho se ukhadne par bhi infection badh kar boil ka roop le leta hai
  • skin allergy hone par

Ye kuch main reasons hein jo ki fode funsi hone ki liye jane jate hein. Ab aaiye boils ke kuch vishesh lakshno ke bare mein bhi thodi jankari le lete hein.

Fode Phunsi ke Lakshan | Baltod ke Lakshan

  • Skin ka laal hona
  • Skin mein sujan hona
  • Tej dard hona
  • Bukhar hona
  • Dardke karan aksar rogi ko bhook na lagna
  • Skin ke neeche peep/pus bhar jana

Ye kuch karan hein jo ki aksar baltod ke marijo mein dekhne ko milte hein. Dhayan dijiye ki agar aapko bhukhar tej aa raha hai ya fir foda aisi jagah hai jaha aapko nuksaan ho sakta hai to turant apne doctor se miliye. Aksar doctor iske liye antibiotics capsules aur cream dete hein. Iske alawa aapki condition ke anusaar doctor chota sa operation (cheera lagana) kar aapke fode ko saaf kar dete hein. Yadi aapke foda shuruvati phase mein hai ya aap ise jaldi se khatam karna chahte hein to aap neeche diye gaye kuch desi gharelu ilaj use karke apni baltod ka home treatment bhi kar sakte hein.

Fode Funsi ka Ilaj | Baltod ka Gharelu Tarike dwara Upchar | Boils Treatment in Hindi

Yaha hum un gharelu cheezon ka istemal karenge jo aapki faode phunsi ki problem ko jaldi heal kare, dard se mukti dilaye aur pus ko bahar nikalne mein madad karein. Saath hi inka istemaal skin par karne se aap apni problem ko hote hi daba sakte hein.

Neem

Neem mein bahut sari skin friendly properties payi jati hein isliye ise face wash, sabun, creams aadi banane mein paryog kiya jata hai. Neem mein infection khatam karne wale aur germs ko marne saath hi anti septic gun paye jate hein jo ki fode funsi ko khatam karne mein bahut labhdayak hote hein.  Taje neem ke leaves ki paste banakar use fode ya phunsi ke oopar lagayein. Aisa din mein 3-4 baar karein. Aise hi ek ya do muthi neem ke patte 2 glass pani mein daliye aur tab tak boil kijiye jab tak pani ¼ na reh jaye. Ab is solution ko apni twacha dhone ke liye use karein. Ye infection ko khatam kar baltod ko jaldi thikkarta hai.

Kaloji ke Beej

Kaloni ke seeds kayi parkar ke charam rog ko door karne ki shakti rakhte hein aur unmein se hi ek hai baltod hona. Iske aushdhiya gun aapko dard se rahat dilvate hein aur sujan kam karte hein. Kalonji ke beej ko pees kar paste banao aur ise fode wali jagah par lagane se aaram milega. Aap kalonji ke tel ko seedha sujan wali jagah par bhi laga sakte hein. Raat ko sone se pehle aadha spoon kalonji oil ek glass doodh mein dalke peene se aapka baltod jaldi theek ho jayega.

Bread Ka upyog

Agar aapke ghar mein bread hai to aap use bhi apni problem jaldi theek karne mein kar sakte hein. Bas ek breadke piece ko garm doodh ya pani mein dubo kar use fode wali jagah par lagaiye. Ye fode ka sar jaldi la dega saath hi dard aur sujan bhi kam karega. Rojan 2-3 baar aisa kariye jab tak aapka fode se pus nikal nahi jati.

Tea tree oil

Tea tree oil mein jabardast infection kam karne wale gun paye jate hein. Iska baltod aur funsi ke liye upyog karne aapki problem ko jaldi heal karta hai saath hi aapko relief bhi deta hai. Bas ek cotton ki ball is tel mein dubo kar fode ya funsi wali jagah par lagiye. Aisa din mein 4-5 baar  rojana kariye jab tak aapka baltod theek nahi o jata. Is tel ka kabhi bhi sevan nahi karna hai.

Haldi

Baat jab fode funsi ki ho tab sabke dimag mein haldi ka naam jaroor aata hai. Haldi ya turmeric mein khoon ko saaf karne wali, infection se ladne wali aur inflammation ghatane wali properties payi jati hein aur isliye iska paryog boils ke treatment mein kafi labhprad siddh hota hai.

Ek treaspoon haldi powder ko ek glass garam doodh mein daalkar din mein 2 baar kuch dino ke liye peejiye.

Haldi powder mein yadi adhar ka ras mila diya jaye to kamal ki antiseptic paste ban jati hai. Is paste ko phode par lagane par wo jaldi thik ho jata hai.

Garam sek dijiye

Garam sek dene se dard mein rahat milti hai aur sujan bhi kam hoti hai.Saath hi skin ke neeche blood circulation bhi sudharti hai aur aapki samasaya jaldi heal ho jati hai. Ek chote towel ko garam pani mein dubo kar ause nichod kar fode wali jahag par kuch der rakhiye. Aap pani mein namak bhi mila sakte hein isse infection khatam hogi. Aisa din mein 3-4 baar kariye.

Pyaz ka paryog

Pyaz mein atnispetic gun paye jate hein aur aksar dadi nani ise boils ke treatment mein use karne ki salah deti hein. Ek pyaz ki moti si slice katiye aur use aapne baltod par rakh kar ek patti se bandh dijiye. Isekuch ghato ke liye aise hi chod dijiye. Aisa din mein 2-3 baar tab tak kariye jab tak fode ka muh nahi aajata aur usse pus nahi nikal jati.

Lehsun

Lehsun ya garlic mein anti bacterial, anti inflammatory aur germs seladnewale gun paye jate hein. Kuch garlic ke piece khane se aapko apni problem se ladne ki shakti milti hai. Lehun ki paste banakar baltod par lagana bahut labhdayak mana jata hai. Isi parkar Garlic ke piece ko garam karke fode wali jagah par 10 minutes ke liye rakhna bhi acha mana jata hai.

Doodh

Milk mein healing aur dard nivarak gun paye jate hein. Ek cup doodh mein 3 teaspoon namak mil dijiye. Ab ismein kuch bread ke pieces daalkar paste bana lijiye. Is paste ko ghav wali jagah par lagaiye. Aisa din mein 3-4 baar kijiye. Doosra tarika ye hai ki  Malai mein sirka aur haldi milakar paste bana lijiye. Is paste ko fode wali jagah par lagane se wo jaldi gayab ho jayega.

Cornmeal

Cornmeal mein kamal ki avshoshak shakti payi jati hein aur ye baltod ko soft karke jaldi pus ko bahar nikal deta hai. bas ek cup pani ko boil kariye aur isme cornmeal milakar ek ghadhi  (thick) paste bana lijiye. Is paste ko fode funsi wali site par lagaiye. Aisa din mein kuch bar kariye.

Fode funsi ke kuch aur gharelu ilaj aur Upchar ke Tarike | Baltod ke kuch aur nuskhe |Additional Home Remedies

  1. Tulsi ke patte ka paste aur adhrak ke paste ko barabar matra mein mila lein. Ismein thoda sa heeng ka power dalkar boils wali jagah par lagayein. Ghav jaldi bharega.
  2. Boils ko Epsom salt yukt pani se din mein kayi baar dhone se bhi wo jaldi theek ho jata hai.
  3. Jaiphal (nutmeg) yukt doodh rojana peene se bhi ye problem jaldi theek ho jati hai.
  4. Parsley leaves ko pani mein garam kar ek kapde mein lappet kar fode par badhne se bhi foda jaldi muh taka a jata hai.
  5. Boil wali jagah par arandi ka tel lagane se bhi aapki problem jaldi solve ho jati hai.
  6. Ande ka safed bhag baltod par lagane se bhi foda jaldi heal hota hai.
  7. Aloe vera ka fresh gel fode funsi par lagne par wo jaldi heal ho jata hai.
  8. Bargad ke patte ko garam karke uspar til ka tel lagakar boils wali jagah par bandh dijiye. Fode ka muh jaldi aa jayega. Isi parkar aap paan ke patte ka bhiparyog kar sakte hein.
  9. Ek spoon nimbu ka ras aadhe cup karele k eras mein milkar roj peene se baltod ki samasaya jaldi theek ho jayegi.
  10. 4 gram kilmora aur makkhan ko milaiye. Ismein 1 gram kapoor daalkar aapne baltod par lagaiye. Sukhne par dho dijiye. Ye bhi ek acha gharelu nuskha hai.
  11. Ek teaspoon ajwain aur 5 lehsun ki pali ko aapas min milakar koot lijiye. Ise til ke tel mein garam kariye aur fode wali jagah par laga lijiye. Ispar patti bandh kar poori raat ke liye chod dijiye.
  12. Dhatura ki patti ko garam karke use boils par bandh lijiye. Aapko dard se jald aaram milega.
  13. Curry patta ki paste lagana bhi faidemand mana jata hai.
  14. Kinoo ke ped se patte tod kar unhe pees kar apne ghab par lagaiye. Ghav jaldi bharega.
  15. Haldi, chandan aur gulab jal ki paste bhi baltod ke liye achi mani jati hai.
  16. Anjeer aur henna ke patte ki paste bhi baltod par acha kaam karti hai.
  17. Brahmi ke powder ko pani ke saath milaiye. Is paste ko boils par din mein 3 baar lagaiye.
  18. Gajar ki paste aur tamatar ka ras ghav wali jagah par lagne se faida hota hai.
  19. Lal chandan ya rakt chandan (red sandalwood)ke powder ko fode par din mein 3 baar chidakiye.
  20. Jeere ki paste se bhi faida hota hai.
  21. Aaloo ki slice ko fode par ek ghanta rakhne se wo sabhi zehreeley tatv sokh leta hai.
  22. Peepal ki chal ka paste banakar baltod par lagane se dard mein relief milta hai.
  23. Isi parkar log methi aur patta gobhi ka bhi itemal fode phunsi mein karte hein.

Fode funsi se bachav ke tarike | Boils prevention Tips

  • Apni madhumeh ko control mein rakhne ki koshish karein.
  • Apni saaf safai par vishesh dheyan dein. Aur apne hatho ko hamesha saaf suthra rakhein.
  • Nahate waqt ache anti bacterial soap ka istemal kare. Isse aapke shareer par bacteria khatam ho jayenge aur aapko infection ka khatra bhi nahi rahega.
  • Kisi ko agar foda funsi hai to unka personal saman jaise towel, t shirt, jeans, comb, rumaal aadi kabhi bhi use na karein.
  • Hamesha  saaf suthre kapde pehne.
  • Nahane dhone ke liye hamesha saaf pani use karein.
  • Funsi ko kabhi bhi hathon se na fodein isse infection jayada hone ka daar rehta hai.
  • Apne skin care par dehyan dijiye take aapke pores saaf rahe aur unmein pimples, blackhead aur whiteheads jaisi samasayaein na ho. Isse infection hone ke chances bhi kam hote hein.
  • Tala hua, masaledaar, aur junk food se door rahein. Ye sabhi cheezein kabj aur pet ki samsayaon ki liye jani jati hein.
  • Coffee, chai , alcohol jaise unhealthy drinks na peyein.  Inki jagah green tea ka khul kar sevan karein.
  • Jitna jayada ho sakte pani aur doosre juice peejiye. Isse apke shareer ki garmi kam hogi saath hi kabj door hokar khoon bhi saaf rahega.
  • Vitamin A, C, E, omega-3 fatty acids, aur antioxidants yukt foodskahein.
  • Tight kapde na pehne kyonki unki ragad se bhi infection badhne ke chances ho jate hein.

Ab aapki bari hai aur yadi aapko baltod ya fode funsi ki problem hai to uska turant gharelu ilaj shuru kar dijiye. Kyonki sahi samay par upchar ek acha upay mana jata hai. Yadi aapko tej bukhar ya koi aur problem ho rahi hai to apne doctor se turant miliye.

लोगों की इतनी help की लेकिन हमारी नयी वेबसाइट like नहीं की अभी तक 😥

2 thoughts on “Fode Funsi Ka Desi Gharelu Ilaj – Baltod ka Home Treatment Hindi me”

Leave a Comment

Don`t copy text!