Pet ki dharan (nabhi sarakna) ka ilaj – Naval displacement in Stomach Treatment

Nabhi  ko Punjabi  me dhunni or English mein naval ya belly button ya tummy button kehte hein. Ye hamare sharer ka ek bahut hi mehtavapurn ang hai.  Ise body ka centre,  junction aur energy point bhi kaha hai. Nabhi ki skin se 7 centimeter neeche ek andakaar (egg shaped) gola paya jata hai jaha se 72864 tantrikaein  (nerves) poore sharer mein faili hoti hein. Yeh gola ek tissue se juda rehta hai jo ise apne sathan par yani beecho beech banaye rakhta hai.  Par kayi karno se ise tissue mein khichaav (pull) ho jata hai or yeh gola apne nishchit sathan se hat jata hai ise nabhi sarakna, dharan, nabhi utarna,  dharan chadna, nabhi khisakna  aadi namo se jana jata hai. English mein ise naval displacement kehte hein. Dharan ko allopathic doctors ya allopathic medicine nahi manti lekin ayurveda or herbal medicine ise manti hai or iska ilaj bhi karti hai.

pet ki dharan

Dharan ke Lakshan | Symptoms of Naval Displacement

Jaisa ki aap jante hein ki nabhi ko sharer ka energy centre bhi kaha jata hai aur iske aap chu kar mehsoos kar sakte hein. Jab nabhi centre mein hoti hai ya apni jagah pe hoti hai to aapko theek beech mein pulsation mehsoos hoti hai. Aur jab ye beech mein hoti hai tab aapki emotional, mental or physical health theek rehte hein. Lekin problem tab paida hoti hai jab nabhi ka balance kharab ho jata hai.  Is case mein rogi ko neeche likhe lakshan mein se kayi lakshano ka samna karna pad sakta hai jaise:

  • Mansik  tanav (hamesha tension mein rehna)
  • Mood swings hona (baar baar mood kharab hona)
  • Pet mein achanak kabz (constipation) hona ya ek dun se dast (loose motion) lag jana
  • Kamjori feel karna (weakness or tiredness)
  • Ji michlana (nausea) ya ulti hona
  • Thighs and calves mein dard rehna
  • Kamar or kulhon (hips) mein dard
  • Sar dard rehna
  • Digestion bigad jana
  • Pet mein gas ban na
  • Pet mein marod uthna (stomach cramps)
  • Ladkiyon mein masik dharm sambhandit problems hona
  • Kamar mein dard hona
  • Ladko mein kamjori ke karan swapan dosh (night fall) hona

Dharan ke Karan | Causes of Naval dislocation / displacement

Dharan ki samasya kisiko bhi kahi bhi ho sakti hai aur dharan ooapar, neeche, dayein ( right), bayein (left)kisi bhi disha mein khisak sakti hai. Ye samasya navjaat bacho mein bhi payi jaati hai aur ladies mein yeh ek bahut hi common problem hai.  Nabhi sarakne ke karno (causes) mein se mukhya hai

  • bahut bhari weight uthana  ya kheechne se
  • pet ki kharabi
  • pet mein gas ka hona
  • sambhog ke samay dharn ek aam baat hai
  • shareer mein achanck jhatka aane se
  • khelne, kudne, bhagne aur girne se
  • paon mein jhatka aane se
  • lambe safar ke dauran tab jab rasta kharab ho
  • gadi chalate samay achanak jhatka aane se
  • galat posture mein uthna, bethna or letne (sone) se
  • achanak jhukne ya mudne par

in causes ke alawa nabhi sarakne ke bahut se doosre karan bhi ho sakte hein.

Dharan ka pata kaise lagaein? Naval Displacement Test/ diagnose/ Pehchan Karna

Aap ye dhayan rakhiye ki nabhi utarna ya gola khisakna koi bimari nahi hai aur ye kisi ko bhi kisi bhi samay ho sakti hai aur ise gharelu nuskho (home remedies), massage (malish), yoga exercises,  tatha ayurvedic upchar ke dwara aasani se theek kiya ja sakta hai lekin ye pata hona chaiye ki vastav mein dharan padi hai ya nahi. Iske liye aap kisi ache dharan nikalne wale ya ayurvedic expert ki salah le sakte hein. Ghar mein dharan ki janch ka tarika neeche diya gaya hai jise samajh kar aap apne aap ki ya kisi doosre dost ya family member ki nabhi utarne ki jaanch kar sakte hein.

Nabhi ke balance ko check karne ka pehle saral upay ye hai ki aap seedhe let jaiye. Apne dono hatho ko nabhi ke oopar aise milayein ki hatho ki beech or nabhi ke oopar ek chota dil (heart) ki shape ban jaye. Haatho ko halka sa dabayein, aapkp ek mand si dhadka nabhi ki beeco beech mehsoos hogi iska arth hai hai ki aapki nabhi balance mein hai yadi wo dhardka oopar, niche, right ya left hoti hai to iska matlab dharn hai. Ye mahilao (ladies) ki naval displacement jan ne ka ek aasan tarika hai.

Gents ki dharn janchne ke lie ek traika ye hai ki rogi ko seedha leta dijiye.  Ab ek dhage (string) ki help se rogi ki nipples aur nabhi ki doori ki janch kijiye. Agar right or left nipple ki centre point se doori saman nahi hai to iska arth dharan hai.

Dharan ya nabhi khisakne ka  gharelu ilaj ( naval displacement home treatment)

Sarson ke tel ki malish (Mustard oil massage)

Sarson ke tel mein bahut se natural gun hein jo ki shareer mein kayi parkar ke dard or khichav ko door karne mein saksham hai. Aap halke garam sarson ke tel se apni nabhi  ke aas paas malish karke dharan samasya se chutkara pa sakte hein. Ho sake to ye massage kisi expert se hi karvayein kyonki galat massage karne se ulta parbhav bhi pad sakta hai. Doosra gharelu nuskha ye hai ki desi ghee ka halwa banayein or us halwe se apni dharan ki massage karein. Aisa hafte bhar karne see nabhi apne sathan par wapas aa jati hai. Dhayan rakhiye ki massage ke turant baad rogi ko kuch der betha (sitting position) kar rakhe or use kuch meetha khane ko dein. Meethe ka sabse acha example neeche di gayi vidhi mein chupa hai.

Saunf and Gud (Fennel seeds and jaggery)

Ek spoon saunf ko ek spoon gud ke saath milakar subhe or shaam ko khane se dharn ki samasya mein bahut hi aaram milta hai. Saunf mein natural  gun paye jate hein jo naval displacement ke symptoms jaise  gas, pet mein dard, kabz( constipation), ji machlana ya ulti (vomiting). Pet mein marod (cramps) uthna, ladkion (girls) mein masik dharrm ki pareshaniyo ko door karna jaisi problems ko door karne mein madad karti hein. Gud helps treat lots of health related problems including naval displacement.

Chai ka Upyog

Ghar mein jo chai (tea)  payi jati hai use bhi aap apni pareshani door kar sakte hein. Aapko karna ye hai ki chai ko pees kar mahin powder bana lijiye. Is chai ke powder ka ek teaspoon pani ke saath nigal lijiye. Ye nuskha aapko pet ke dard or loose motion mein turant aaram dega.

Pudina bhi hai Labhkari

Pudina ke bare mein aap sab jante honge. Pudina apni medicinal properties ke karan kayi parkar ki medicines mein use hota hai jaise pudine ki goli, pudin hara aadi. Pudine mein antioxidants or aise chemicals paye jate hein jo digestion bhadane mein sahayeta karte hein. Pet ki kharabi se bhi dharan ho sakti hai isliye pudina se aap is problem ko hone se pehle hi rok sakte hein. Pudine ke chutney khana tatha ise juice ko rojana peene se pet ki jaydatar problems door ho jati hein jinme se ek nabhi utarna bhi hai.

Dharan ke liye Gharelu Exercise

Ye exercise karne se bhi aapki naval dislocation problem theek ho jayegi. Aapkko neeche samtal jagah par seedhe bethna hai.

  • Aapne dono legs ko seedha rakhiye.
  • Ab right leg ko fold kijiye or apne left haath ko aapni left leg ke anguthe par touch karne ki koshish kijiye. Aisa 5 to 7 times kijiye.
  • Ab left leg fold karke wahi kriya apni right leg ke liye 5 to 7 baar kijiye.

Ye exercise roj subha khali pet karne se aapki nabhi apne sathan par aa jayegi or aapko turant aaram bhi milega.

Raised Leg Pose (uttanpadasana)

Uttanpadasana ek bahut hi faidemand asan hai kyoni ye na kewal aapki dharan ko theek karta hai balki aapki pet ki muscles ko bhi strong banata hai jisse bhavishaya mein aap is problem se bache rehte  hein. Saath mein ye aapki pet sambhandit problems ko bhi door rakhne mein sahayak hai.

  • Aap neeche zameen par seedha let jaiye. Aapne dono legs ko aapas mein sata kara rakhiye aur dono hathon ko apni body ke saath sata kar rakhiye.
  • Andar saans lete hue dono legs ko dheere dheere oopar uthaye. Aapki body aur legs ke beech 90 degree ka kon banna chaiye. Is position mein 30 seconds tak rahiye.
  • Ab saans bahar chodte hue legs ko neeche layie (dheere dheere).
  • Aisa 5 se 10 baar roj subhe kijiye.

Note: ye pose wo log bilkul na kare jinhe high blood pressure ho, back pain ho, hernia ki problem ho ya haal mein hi stomach ki surgery hui ho. Pregnancy or period ke dauran bhi ye asan varjit hai.

Apaan Mudra se Milega aaram

Dharan padne se hone wale kayi lakshno se aaram pane ke liye aap apaan mudra ka use bhi kar sakte hein. Ise bade or bache aasani se kar sakte hein. Aapko bas ye karna hai ki haath ki do beech ki fingers ko thumb ke saath jodna hai or apni pointer finger aur choti finger ko seedha rakhna hai. Is mudra mein aapko 10 to 15 minutes rehna hai. Ise rojana karne se aapki nabhi ki samasaya door hogi or future mein bhi aapko koi dikkat nahi hogi

Daadi / naani ka desi nuskha

Ye nuskha ya desi ilaj sabse simple and effective hai jise aksar hamari dadi ya nani ma karne ki salah deti hein. Ye nuskha hai- ek plastic ki ball lijiye ya kisi kapde ko lappet kar ball shape bana lijiye. Aap samtal jagah par ulte let jaiye or ball ko aapni nabhi ke neeche rakh lijiye. 5 minute tak ise mudra mein lete rahe fir bayi or se dheere-2 uth ka beth jaye. Iske turant baad aap lemon yukt back tea peejiye.

Oopar di gayi remedies ke alawa dono legs ke thumb ko pull karke barabar karna tatha uske baad thumbs par kala dhaga bhandna bhi ek desi ilaj hai.  Iske alawa aap nabhi par vacuum banakar, yoga aur acupressure se bhi  yeh problem theek kar sakte hein lekin uske liye aapko kisi ache jankar ya expert ki madad leni hogi.  Aapko roj pranayam ki practive karni chaiye thatha is stithi mein faida dene wale yoga aasan jaise uttanpadasana, dhanurasana, chakrasana aur matsyasana bhi roj karne chaiye.

Dharan se Bachav ke Upay |Naval Displacement Prevention Tips

Dharan se bachav hi iska sabse acha upchar hai isliye yaha diye gaye bachav ke tariko ko samajhiye or apne jeevan mein apnaiye.

  1. Jayda lambe samay tak khade ya bethe na rahiye.
  2. Bhari vastu ko uthane ka paryas na karein. Ho sake to doosre logo ki madat lein.
  3. Khali pet rehna bhi dharan ka ek karan hai isliye thodi thodi der mein kuch khart rahiye aur jitna ho sake khali pet rehne se bachiye.
  4. Pet ki muscles ko majboot rakhne wale yoga or doosri exercises kariye.
  5. Digestion ko acha banaye rakhne ki koshish kare. Iske liye exercise aura chi halki supachaya (digestible)   diet ka sahara le sakte hein.
  6. Dharan se mansik tanav to hota hi hai lekin mansik tanav se bhi nabhi khisak sakti hai. Isliye jitna ho sake aap tanav mukt rahiye aur iske liye aap yoga or meditation ka use kariye.

To dosto, ye tha dharan ya nabhi utrne ka ilaj, lakshan, gharelu nukhe, bachav ke tarike aadi ke bare mein ek lekh. Yadi aapko oopar diye gaye upayon se bhi aaram na mile to aap kisi ache ayurvedic practitioner ya expert se consult kar sakte hein.

लोगों की इतनी help की लेकिन हमारी नयी वेबसाइट like नहीं की अभी तक 😥

Hello! I'm Suven, a Computer Engineer, Naturopathic Doctor, Certified Nutritionist, and adept Astrologer. My passion for holistic well-being and celestial insights drives my diverse expertise. I weave together technology and ancient wisdom to explore health, lifestyle, and astrology in my writing. Join me on a journey to balance and fulfillment, where science, nature, and the cosmos harmonize for optimal well-being. Feel free to connect; let's explore this enlightening path together!

30 thoughts on “Pet ki dharan (nabhi sarakna) ka ilaj – Naval displacement in Stomach Treatment”

    • Ji haan anshul ji apaan mudra dharan mein faydemand maani jaati hai ..aap try karke dekhein aapko aaram milega saath hi malish aur doosri exercise karein jo article mein batai gayi hain

      thanks for the visit!

  1. Hi .im deep i want to ask you that i have visited and old lady who is expert in such works for malish ..she rudely massages and i got relief but this again happens ..what’s the solution

  2. I am suffering from navel displacement from last over 3 years and getting muscle catch on left side below navel along with circulating of muscles along navel and pulling of core muscles on tail bone hips joint and on left side of lungs. During night there is catch in testicle area along with sever itching . Kindly guide me treatment or provide me the details of a person in Mumbai or nearby who can set / treat me .

  3. Sir ji neend kaise le gahri neend aati hi nahi or pet aawaj karta hai or khana khane ka toh mann hi nahi karta khata hu toh pachta nahi hai meri haath ki lambai choti hai kai dawa kiya koi fayada nahi doctor kahte hai gais hai par sahi nahi hua fir pata chala naab sarki hai naab ko mulaayam karne ki koi dawa ho bataye sir ji humko jo log baithte hai kahe ki aapki naab me gaath pad gayi hai ish liye wo wapsh sarak jaati hai . Please help me sir

  4. Hello sir ,
    Sir mujhe 4 saal se problam h ,
    Upper aapke bataye sab upaay kr chuka hu
    Ab mujhe kis parkar ka aayurvadik ilaaj lena chahiye or kaha
    Kripya bataye
    Dhanywad

    • Hello,

      Dharan/Nabh Chadna/Kauri chadna ye sab bohot common hai, aur iske bohot se easy upaay hai…Jitni jaldi isko theek kar liya jaye utna he achha hota hai, aur iska side effect kam ata hai…

      lekin har insaan ki Nabh theek hone ka tarika alag hai. Kuch ko pait malne se farak padta hai, kuch ko yoga se, kuch ko pero ko khhichwa kar, kuch ko apne daily ke routine mai chhoti chhoti cheeze yad ya change rakh kar…

      lekin hamesha yad rakhe Nabh chadne par bhi, kabhi bhi apni body ko Dehyration na hone de, isse Nabh ke side effect badne lagte hai…

      Nabh theek karne ke bohot se saral tarike hai…chinta na kare aur demag se positive rahe…

  5. muja stomach mai naap ha muja kabz bhut jada rata ha or gas to haad sa jada baanti ha or muja ya problem 5 months ha ha or leg mai bi kamjori or dard raata ha head pain bi bhut raata ha stomach mai acid bi bhut baanta ha kuch bi khati ho digestive nai hota gas bhut baanti ha or kabz bi

    • aap ek baar kisi acche gastrologist se milein ….pet mein kide hone par bhi aisa ho sakta hai aur pet mein good bacteria ki kami ke karan bhi saath hi acidity hone par bhi aisa hota hai ….aapko ek course albandazole ka saath hi antacid ki jarurat hai jo doctor aapko prescribe karega

  6. Sir ,bahut acchi information dI had aai aapnr. Mere ko 2 week se left lower abodemen mein pain ho Raha ha aur niche left tescile mein bhi pain Hai. Scan Kara liya ha abdomen aur tescile ka par wo normal ha. Pain ruk nahi Raha Hai .alopethic doctor harnia ya stone suspect kar rahe Hain per scan mein kuch nahi ha…ye symptoms nabhi sarkne Hain Kya ? Pls help agar Bangalore mein koi vaid ho to

  7. Dear Sir
    Lagbhag 4 year se mujhe ye problem hai. Mere pet me left side hamesha khinchav rahta hai. Aur wahi par dhak dhak awaj hoti hai. Kitni bhi kosis karu but nabhi centre me nhi aati.mai har tarike se krwa chuka hu but ab bohat thak chuka hu .mentally problem bhi bohat ho rhi hai.dar sa lga rahta hai har time.
    Kindly guide sir
    My humble request

  8. Sir mughe October ki 19 ya 20 date Ko mere nahi utar gai thi mughe do ya teen din ke Baad pata chala mane Kai Dharan dekhne wale Ko dikhta par thik nahi hua ye ab male ke pass ja chuki sab thik hi nahi Hui hai.
    Aaj 8 Feb ho chuki hai par mere nahi sabhi tak sahi sathan par nahi hai hai
    Please mere question ka jaldi jawab de
    Aapko meharbani ho gi

  9. sir
    muje pichle 8 month se dharan ki problem h nabhi ki nas uper ki or chli jati h jisse mujhe sas lene m problem ho rhi h or pet m pain ho rha h muje gas bnti h or vomiting aati h or bilkul v bhuk nhi lgti h kai br mene pet ki malish kra li h to ek do din nabhi sahi rhti h uske bad fir uper chad jati h sir ji mene aapke dwara btye gy sahi yogaasan kr liy h or morning m khli pet shonf or gud kha rha hu fir v koi aaram nhi h or yha ke doctor ko v dkhya liya h pr koi aaram nhi h plz koi aacha sa upay btay plz sir help me sir… ….

    • aapko indigestion ya fir kabj ki shikayat to nahi rehti in dono ke kaaran gas adhik banti hai aur dharan apne sthaan se khisak jaati hai …aisa hai to raat mein doodh ke saath isabgol bhi lekar dekho taaki pet poori tarah se saaf ho sake …kam bhojan kariye aur fiber yukt diet lijiye..uske saath bhojan ko acche se chabakar niglein …saath hi bhojan jaldi pachne wala halka hi karein

Leave a Comment

Don`t copy text!